Ek BACHPAN ka Zamana tha, jisme Khushiyo ka khazana - TopicsExpress



          

Ek BACHPAN ka Zamana tha, jisme Khushiyo ka khazana tha... . Chahat Chaand ko pane ki thi, par DIL titli ka Diwana tha... . Khabar na thi kuch Subah ki, Na Shaam ka thikana tha... . Thak-har ke aana school se, Par khelne bhi jana tha... . Maa ki kahani thi, Pariyo ka fasana tha... . Barish me kagaz ki naav thi, Har Mausam suhana tha... . Har khel me Sathi the, Har Rishta nibhana tha... . Gam ki zuban na hoti thi, Na zakhmo ka paimana tha... . Rone ki wajah na thi, Na hasne ka bahana tha... Kyon Ho gaye hum itne bade, isse achha to . "Wo Bachpan ka Zamana tha"..
Posted on: Fri, 12 Jul 2013 09:36:52 +0000

Trending Topics



not acting my age,
From 1st JANUARY 2014 ANY BANK WILL NOT ACCEPT ANYTHING WRITTEN

Recently Viewed Topics




© 2015