Ek masoom sa ladka himalaya ki pahadi par bhede chara raha tha. - TopicsExpress



          

Ek masoom sa ladka himalaya ki pahadi par bhede chara raha tha. Tabhi wahan se ek tourist nikla aur usne ladke se pucha; Tourist: yeh bhede kitna doodh de deti hain? Ladka: ji safed wali ya kaali wali? Tourist: safed wali. Ladka: ji 2 litre. Tourist: aur kaali wali? Ladka: ji wo bhi 2 litre. Tourist: yeh uun kitni de deti hain? Ladka: ji safed wali ya kaali wali? Tourist: safed wali. Ladka: ji 4 kilo. Tourist: aur kaali wali? Ladka: ji wo bhi 4 kilo. Tourist: sale agar dono barabar doodh deti hain aur barabar unn deti hain to yeh kya safed wali aur kaali wali laga rakha hai?? Ladka: ji wo baat aisi hai ki jo safed wali bhede hain wo mere pitaji ji ki hain.. Tourist: aur kaali wali??....... Ladka: wo bhi pita ji ki hain.....
Posted on: Sun, 11 Aug 2013 05:45:34 +0000

Trending Topics




© 2015