Ek masoom sa ladka himalaya ki pahadi par bhede chara raha - TopicsExpress



          

Ek masoom sa ladka himalaya ki pahadi par bhede chara raha tha. Tabhi wahan se ek tourist nikla aur usne ladke se pucha; Tourist: yeh bhede kitna doodh de deti hain? Ladka: ji safed wali ya kaali wali? Tourist: safed wali. Ladka: ji 2 kilo. Tourist: aur kaali wali? Ladka: ji wo bhi 2 kilo. Tourist: yeh uun(hair) kitna de deti hain? Ladka: ji safed wali ya kaali wali? Tourist: safed wali. Ladka: ji 4 kilo. Tourist: aur kaali wali? Ladka: ji wo bhi 4 kilo. Tourist: sale agar dono barabar doodh deti hain aur barabar unn deti hain to yeh kya safed wali aur kaali wali laga rakha hai?? Ladka: ji wo baat aisi hai ki jo safed wali bhede hain wo mere pitaji ji ki hain.. Tourist: aur kaali wali?? . . . . Ladka: wo bhi pitaji ki hain....
Posted on: Thu, 05 Sep 2013 07:10:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015