Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuchh - TopicsExpress



          

Ek pyaar kaa naghamaa hai, maujon ki ravaani hai Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai... Kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai Jeevan ka matalab to, aanaa aur jaanaa hai Do pal ke jeevan se, ek umr churaani hai Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai Ek pyaar ka naghamaa hai Tu dhaar hai nadiyaa ki, main teraa kinaaraa hoon Tu meraa sahaaraa hai, main teraa sahaaraa hoon Aankhon men samandar hai, aashaaon ka paani hai Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai Ek pyaar kaa naghamaa hai Toofaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai Baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar dhal jaanaa hai Parachhaainyaan rah jaatin, rah jaati nishaani hai Zindagi aur kuchh bhi nahin, teri meri kahaani hai Ek pyaar kaa naghamaa hai
Posted on: Sat, 31 Aug 2013 16:44:40 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015