Ek roz ja rahe the kahin cycle se hum. - TopicsExpress



          

Ek roz ja rahe the kahin cycle se hum. Pahunche jo ek mod pe naazil hua sitam. Padle se cycle ke jo paaon ukhad gaye. Hum ja ke ek shokh haseena se lad gaye. Sambhli jo woh to haththe se fauran ukhad gayee. Goya huyee to jaise hawaaon se lad gayee. Kahne lagi ki andhe hain aata nahin nazar. Yeh harkaten janaab ki yeh eenchen (dadhi) motbar(pavitra). Phirte hain kya shareefon ki surat bana ke aap. Youn aurton pe girte hain dadhi rakha ke aap. Maine kaha ki thook do ghusse ko naznin. Cycle ladi hai tum se yeh dadhi nahin ladi. Dadhi ka naam le ke mujhe kyon ho kosti. Dadhi koi brake hai jo cycle ko rokti. Shukriya.
Posted on: Wed, 14 Aug 2013 16:44:34 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015