Ek teacher ne class mein bachon se sawaal kiya: 'ye batao woh - TopicsExpress



          

Ek teacher ne class mein bachon se sawaal kiya: 'ye batao woh koun loag hain jo namaz nhi padhtey' Ist bacha ne badi masoomiyat k saath jawab dia 'jo loag marr chuke hai' 2nd bache ne badi nadamat k saath jawab dia'jinko namaz nhi aati' 3rd bache ne bada maqbool jawab dia 'sir woh loag jo musalmaan nhi hain' Ab hamara shumaar kin mein hota hai??? 'kya hum marr chuke hain' 'kya hame namaz nhi aati' "kya hum musalmaan nhi' Allahu Akber. Allah sabhi Musalmano ko 5 waqt ki Namaaz Ba-Jamaat ada karne ki Nek Toufeek de. Aameen.
Posted on: Thu, 03 Oct 2013 09:55:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015