FAIRY MAIDOWS is ka yeh name aik australian siah ne 1953 man - TopicsExpress



          

FAIRY MAIDOWS is ka yeh name aik australian siah ne 1953 man rakh.is kam matlab ha parion ka maskan,yani parion ki charaagah.javed choudhry ne apna aik colum man pakistan k in northern areas ka dusra western countries se taqaabal kia tha.woh kun k khud b bohat se western countries dekh chuka ha is ka bharmala izhar kia k pakistan k northen areas kisi b tarah se in se kam nahi us ne likha tha k western countires k pahar 5000 meter jab k pakistan man 8000 meter ki paharon ki bulandi ha.us ne yeh b likha tha agar pakistan government transport ka sahi arrange kar de .to pakistan ki sare qarza in ailaqon ki siahat se utar sakta han.haal hi man india aur pakistan ka jo mahda howa tha us man yeh b tha k dehli se direct fairy maidows b flight ayen gen. fairy, deosai jise land of giants b kahta han,shangrilla ,aur babu sar top us ne in k bara man likha k is tarah ki seceery ka ham sirf taswawr karta tha lekin ankhon se dekhna k bad us ko pakistani hona par bohat fakhar mehsoos howa.NANAG PARBAT B yehen waqia ha jis ko killer mountain b kaha jata ha .kun k yahan jo kohpehma jata ha zinda wapis nahi ata balk aksar auqat woh lapata ho jata ha.shangriila se to javed choudhry itna impress howa k us ne khawahish ka izhar kar dia k kash woh yahan dafan ho jaye. paskitan man transport aur roads ki kam sahulton k bawjod dunia bhar k siah yahan khecnhe chala ata han.kun k woh b yeh janat nazee nizara dekhna chahta han.agar ham tourism department k zarye in areas man jana chahen to hamen kafi arsa pehle booking karani parti ha.yeh in areas ki popularity ka moun bolta saboot ha. haah hi man international terrorist ne yahan badtareen dahshatgardi ki ha.jis man china,russia,ukraine k tourist ko targit kia gya ha,maqsad sirf paksitan ko dunia bhar man badnam karna ha.ALLAH se dua ha k woh un k azaim aur sazisehn beniqab kara.pakitan ki securties agencies ko ziada taqtwar aur faal kara. tak ham dunia man paksitan ka khubsurat jo k us ka asal image ha pesh kar saken.
Posted on: Mon, 24 Jun 2013 15:09:03 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015