Fakir Sifat Baadshah Bazar Zamhar ne Hazrat Umar Farooq Radhi - TopicsExpress



          

Fakir Sifat Baadshah Bazar Zamhar ne Hazrat Umar Farooq Radhi Allahu Ta’ala Anhu ki khidmat me apna ek kaasid bheja taki wah dekhkar aaye ki Musalmano ke itne bade jalijul qadr baadshah ki surat wa seerat kaisi hai? Chunanche wah kaasid madina munawwara pahuncha toh musalmano se puchne laga ki tumhara baadshah kaha hai? Musalmano ne jawab diya ki wah hamare baadshah nahi balki hamare Amir hai. Abhi abhi ghar se bahar tashrif le gaye hai wah kaasid bhi piche gaya aur kya dekhta hai ki Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu ek jagah dhoop me so rahe hai. Durra sar ke niche rakha hai. Pesani noorani se aisa pasina beh raha hai ki zamin tar ho gai hai. Kaasid ne jab yeh haal dekha toh uske dil par bada asar hua. Sochne laga ki tamaam duniya ke bade bade baadshah jinki haibat se larazte hai ta’ajjub hai ki wah iss fakirana sifat par hai phir arz karne laga: Aye Amirul Momineen! Aapne insaaf kiya isliye bekhatak soye huye hai. Hamara baadshah zulm karta hai isliye khwah ma khwah pareshan rehta hai. Me gawahi deta hu ki tumhara deen saccha hai agar me kaasid banker na aaya hota toh me abhi musalman ho jaata. Magar me phir haazir hokar musalman hounga. (Kimiya e Sa’adat, Safa-267) / Book name : Sacchi Hiqayat
Posted on: Sat, 17 Aug 2013 16:57:44 +0000

Trending Topics



le="min-height:30px;">
el konozerte alegro mi vida ilumino miz nozhez le dio kolor a miz

Recently Viewed Topics




© 2015