Friends, mera nam rajesh hai. aaj main aap sabko apni ek real love - TopicsExpress



          

Friends, mera nam rajesh hai. aaj main aap sabko apni ek real love story (in Hindi) suna rha hun. Plz ise padh ke mujhe suggest karo ki kya karun? Main us vaqt apne gaon gaya hua tha.Ham rahte to mathura mein hain par hamara gaon Aligarh ke pas hai. har sal garmi ki chhutii mein ham gaon jate hain to is sal bhi main gaya tha. vaise maine kaha tha ki is bar main 12th mein aa gaya hun to is bar yahi pe tution kar leta hun to unhone kaha ki 1 week ke liye chala ja. fir aa jana. so main apne gaon aa gaya. vahan mera man lag nahi raha tha jyada. sabse badi bat na to net kam karta tha na mobile ka network thik se kam kam karta tha. bas din bhar ped ke niche baithna padta tha. 3rd day lekin sab change ho gaya. maine dekha pados vale chacha ji ke ghar se ek ladki hamare ghar aai. vo meri gaon ki bhabhi ke pas aai thi kuchh saman lene ya fir lautane, mujhe thik se yad nahin hai. lekin main use dekhta hi rah gaya. bahut hi sundar, ekdam gori chitti. salwar suit pahne hue thi peele rang ka. bas kayamat lag rahi thi. fir pata chala vo mere chachi ji ki bhanji yani chachi ki bahan ki beti thi aur kuchh din ke liye agra se aai thi. bas maine than liya ki friend ship karni hi hai isse. fir sham ko main kisi bahane se chacha ji ke ghar gaya to mujhe vo nahi dikhi. thodi der baith ke main aa gaya. agle din vo fir aai to samne main hi mil gaya. usne puchha meri bhabhi kaha hai to maine kaha ki naha rahi hai to vo boli fir aaungi to maine kaha baitho, wait kar lo to vo baith gai. hamari baten shuru hui to pata chala ki vo bhi 12th mein hi hai. fir to bahut baten hui hamri. use bhi meri company pasand aa gai. fir to ya to main chacha ji ke yahan jata ya vo hamare ghar aa jati. din mein kai kai bar hamari baten hoti ghanto tak. dosti bahut achchi oarwan chadh gai thi. ham bahut sara hansi majak karne lage the. meri bhabhi lekin kuchh kuchh samajh gai ki mujhe usmein interest aane laga hai. ek din hanste hue boli bahut time laga rahe ho seema ke sath? iarada kya hai babu? aur hansne lagi jor jor se. main sharma gaya par bol kuchh nahi paya. fir vo boli main samajh gai bhaiya . main kya kahta ? bas muskura diya. lekin ek samasya aa gai. mere vapas jane ka din aa gaya. maine jab seema ko bataya to usne kuchh nahi kaha. par sham ko bhabhi ne kaha ki tumne seema ko kya kaha? vo gumsum baithi hai apn ghar mein. shayad roi jaisi lag rahi hai. to maine bhabhi se apne dil ki bat kah di ki seema mujhe bahut achchhi lagti hai bhabhi. vo mere jane se udaas hai to shayad vo bhi mujhe chahti hai. bhabhi ne kaha ki main tumhare papa ko bol dungi ki tere bhaiya ko kahin jana hai to tum kuchh aur din ruk jana. yahi hua aur papa ne pahle to kaha ki meri padhai ka harja hoga. tution fix kar diya hai. fir man gaye ki thik hai. next week bhej dena. jaise hi ye mujhe pata chala main bhag ke gaya aur seema ko ye bataya ki main abhi nahi ja raha to vo ekdam se khush ho gai. fir jahan ham baithe the vahan jab koi nahi tha to achanak usne mere kandhe pe apna sir rakh diya. dheere se boli – tumhare bina to mar hi jaungi Rajesh ! ye sun ke mera dil jor se dhak dhak karne laga. iska matlab saf tha ki vo mujhs pyar karti hai. maine der nahi ki aur jhat se bol diya – I love you seema ! fir hamare din bahut badhiya beete. bas bhabhi jab bhi hame ek sath dekhti, hamen chhedti rahti. fir aakhir mujhe aana pada vapas 7 days ke bad. par is bar seema jyada sad nahi thi kyunki next day vo bhi agra vapas apne parent ke pas ja rahi thi. Ghar aake hamari aksar phone pe bate hoti aur sms karte. fir ek din main doston ke sath taj mahal jane ka bahana karke mathura se Agra gaya. vahan sara din hamne sath bitaya. seema bhi kuchh bahana bana ke subah se aa gai thi. sham ko jab vapas lautne ka time hua to vah fir ro padi. boli, rajesh aisa kab tak chalega? mera tumhare bina dil nahi lagta. bas ye sun kar maine decide kiya ki jab vo itna pyar karti hai to ab main use apna bana ke rahunga. ghar aake maine mom-dad ko bataya diya sab kuchh. pahle to papa bahut gussa hue. fir mom ne unhen shant kiya to sham ko bole beta, abhi tumhari umr nahi hai. kuchh ban jao, fir jo chahe karna. bas hamara bharosa mat todna, kuchh galat mat karna. maine unhen promis kiya ki unki koi insult nahi hone dunga. fir ek din main aise hi agra gaya. is bar mom ko bol kar gaya tha ki main seema se milne ja rha hun. vahan jake main semaa ke ghar gaya aur unke parents se mila. seema ne lagta hai bata diya tha ki main aa raha hun. vahan pahle to uske mom-dad ne kuchh nahi kaha aur mujhe chai vagaira bhi offer ki aur mere ghar valon ke bare mein puchhte rahe. vaise to door ke relative ham the to kuchh to idea unhen tha hi. fir kuchh der ke liye uske papa kahin chale gaye. sham tak main seema ke sath hi raha. bas ham ghar min rahe lekin. main uske ghar valon ka dil jeetna chahta tha. sham ko jab uske dad vapas aaye to unhone mujhe kaha ki main tumse bat karna chahta hun. akele mein unhone kaha ki beta, dekho ye umr padhai mein dhyaan dene ki hai. abhi apna dhyaan mat bhatkao aur apni aur seema ki jindagi mat kharaab karo. kuchh ban jao, us din aake bat karna is bare mein. tab dekehenge. abhi tum bachche ho. jao, fir mat aana yahan par. main udaas hokar ghar aa gaya. seema se bat karna mushkil ho gaya tha. shayad uske parents ne us par najar rakhni shuru kar di thi. khair. 12 ke exams aa gaye. main bhi padhai mein man lagane laga. 12 mein to achche no. aaye par mera engginerign mein admission nahi hua. maine BSc mein admission le liya. lekin seema ka admission BITS Pilani mein ho gaya tha. uske vahan jane se pahle main usse ek din agra jake mila. mujhe dekh kar vo mujh se gale lag kar bahut roi. maine kaha ki koi bat nahi, vaqt bitne mein der nahi lagti. lekin fir hamari bat honi bahut kam ho gai. maine socha ki vo studies mein busy hogi. time nahi milta hoga. pahle to uske phone regular aate the fir dheere dheere kai din mein ek bar, fir hafton bad… aur 2 sal bitate to uska call aana band ho gaya. ek din main summer vacation time mein jab agra gaya ki seema se milke bat karunga to seema ki mom ne mujhe ghar mein nahi aane diya. maine bahut reqst ki par vo nahi mani. boli jyada pareshan karoge to tumhare dad ko bula dungi. main vapas aa gaya. fir ek din call ka jawab diya seema ne bahut bahut bar call karne ke bad. boli rajesh, ab hamare beech mein kuchh nahi baki. meri friendship mere sath ke BTech ke ladke se hai aur hamara status bhi same hai. tum jindagi mein pichhad gaye ho rajesh. tumhara mera ab koi mel nahi hai. mera pichha chhod do. ye kah ke usne phone kat diya. vo din aur aaj ka din, mujhse na jite ban raha hai na marte… ye kya kiya seema tumne itne din pyaar ki aas dila ke mar hi diya aakhir mein…. Bewafai ki inteha kar di Seema tune to !
Posted on: Thu, 30 Jan 2014 23:41:05 +0000

© 2015