GUSL KE MASAAIL part 1 :- gusl ke farz hone ke asabaab baad - TopicsExpress



          

GUSL KE MASAAIL part 1 :- gusl ke farz hone ke asabaab baad me likhe jayenge pahle gusl ki haqeeqat bayan kiye jate hain, gusl ke 3 juz hain agar unme se ek me bhi kami hui to gusl na hoga chahe yuin kaho ki gusl ke 3 farz hain, 1) kulli karna :- muh ke har purze goshe hont se halaq ki jarh tak har jagah pani bah jaye aksar log yeh jante hain ki thoda sa pani muh me lekar ugal dene ko kulli kahte hain agarche zuban ki jarh aur halaq ke kinare tak na pahunche, aise gusl na hoga, na is tarah nahaane se namaaz jaiz, balki farz hai ki daarhon (muh me jahan tak pani ja sake) ke peeche gaalon ki tah me daanton ki jarh aur khidkiyon me zuban ki har karwat me halaq ke kinare tak pani bah jana chahiye, Masala :- daanton ki jarh me ya khidkiyon me koi aisi cheez jamee ho jo pani bahne se roke to uska chhurhana zaroori hai agar chhurhane me nuqsan na ho jaise chhaale ke dane, gosht ke reshe aur agar chhurhane me nuqsan aur haraj nhi ho jaise bahut paan khane walon se daanton me choona jam jata hai ya auraton ke daanton me missee ki rikhein ki unke chhilne me daanton ya masoorhon ke nuqsan ka khatra hai to maaf hai, aise hi hilta hua daant taar se ya ukhda hua daant kisi masaale wagairah se jamaya gaya ke neeche na bahe to maaf hai ya khane ya paan ke daag daant me rah gaye ki uski nigaahdasht (dekh rekh) me to haraz nhi, haan maloom hone ke aaad usko juda karna aur dhona zaroori hai jabki unki wajah se pani pahunchne me rukawat ho, 2) naak me pani daalna:- yani 2no nathno me jahan tak narm jagah hai dhulna, ki pani ko soongh kar upar chadaye baal barabar bhi dhulne se na rah jaye, nhi to gusl nhi hoga agar naak ke andar renth sukh gai hai to uska chhudana farz hai, bulaak ka suraakh agar band na ho to usme pani pahunchana zaroori hai fir agar tang hai to bulaak ka hilana zaroori hai warna nhi. 3) tamaam badan par pani bahana :- yani sar ke baalon se paaon ke talwo tak jism ke har purze har roungte par pani bah jana farz hai, aksar log balki kuch pade likhe log yeh karte hain ki sar par pani daal kar jism me hath fer lete hain, aur samajhte hain ki gusl ho gaya halanki kuch uzw aise hain ki jab tak unki khaas tour par ihtiyat na kijiye to nhi dhulenge aur gusl na hoga Bahare shariat plz like this
Posted on: Sat, 01 Feb 2014 11:25:49 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015