HADISHE PAK PADH KAR MAXIMUM SHARE KAR DE.. Hazrate Anas - TopicsExpress



          

HADISHE PAK PADH KAR MAXIMUM SHARE KAR DE.. Hazrate Anas Radiallahu Taala Anhu kehte hai ki aapka Jisme Mubarak nihayat narm wa najuk tha. Maine Deeba wa Hareer (Reshmi kapdo) ko bhi aapke badan se jyada narm wa najuk nahi dekha. Aur aapke Jism Mubarak ki Khushbu se jyada achchi kabhi koi Khushbu nahi sunghi. (Bukhari Sharif Jild 1,Safa 503) Hazrat Anas bin maalik radiallahu taala anhu farmate hai Huzoor ke Chehra-E-Anwar par pasina aata to motiyo ki tarah mehsus hota. Aur uski Khushbu mushq se jyada hoti. (Muslim Sharif) Ummul Momineen Hazrate Aayesha siddiqa radiallahu taala anha farmati hai Ek martaba maine dekha huzoor ki peshaani mubarak par pasine ke qatre hai. Jinse shaue (Kirane) nikal rahe hai. (Khaatib) Hazrate Anas radiallahu anhu farmate hai Huzoor madina munawwara ki jis gali se guzarte, log us gali se khushbu paa kar kehte ke huzoor ka guzar yaha se hua hai. (Daarmi) Hazrate Anas farmate hai, Maine kabhi koi kasturi aur itra aisa na sungha jo Huzoor ke pasina mubarak se jyada khushbudar ho. (Tirmizi Sharif) Hazrate Abu Huraira radiallahu taala anhu ka bayaan he ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ke jisme athar ka rang gora safed tha. Aisa malum hota ki goya aapka muqaddas badan chandi me dhaal kar banaya gaya ho. (Shamaile Tirmizi safa 2) Hazrat Abu Huraira Radiyallahu Anhu Farmate He: Maine Huzoor Se Zyada Khoobsurat Kisiko Nahi Dekha Yu Malum Hota Ke Aaftab Aapke chehre Me chal Raha Hai (TirMizi) ☆☆SUBHANALLAH☆☆ ☆☆SUBHANALLAH☆☆
Posted on: Fri, 26 Dec 2014 18:38:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015