HIQAYAT;- Hazrat Abdul Wahid Ibne Zaid Rehmatullah Alayhi - TopicsExpress



          

HIQAYAT;- Hazrat Abdul Wahid Ibne Zaid Rehmatullah Alayhi Farmate Hai Ki Me Aur Hazrat Ayyub Sakhti Rahematullahe Taaa Alyhe Dono Kahi Jaa Rahe The Ki Sham Ke Raaste Me Ek Lakkad-Haara Dekha Jo Lakdiyo Ko Uthaye Aa Raha Tha. Maine Us Lakkad-Haara Se Kaha Aye Lakkad-Haara Tumahra Rab Kaun Hai.? Humne Use Aam Aadmi Samjha Tha Magar Mere Is Sawal Par Wo Bola Aap Mujhe Yeh Baat Puch Rahe Hai.? Lo Me Batata Hu Mera Rab Kaun Hai.? Usne Apna Sir Aasman Ki Aur Utha Kar Kaha Ilahi.! In Lakdiyon Ke Gatte Ko Sona Bana De. Humne Dekha Ki Uski Tamam Lakdiyan Sona Ban Chuki Hai. Phir Usne Humari Taraf Dekh Kar Kaha Tumne Yeh Baat Dekh Li.? Humne Kaha Dekh Li. Usne Phir Kaha Ilahi.! Inhe Phir Lakdiyan Bana De. Humne Dekha Ki Wo Phir Lakdiyan Ban Gayi. Usne Kaha Mera Rab Wo Hai Jisne Yeh Kaam Kar Dikhaya Hai. 󾕅Rauzatur Riyahin : Page-194) Sabak ;- **************** Allah wale Badi Shaan Ke Malik Hain Wo Allah Ki Maante Hai, Allah Unki Maanta Hai. Yeh Bhi Malum Huwa Ki Kai Allah Wale Gudhdi Me La-al Ke Mutabik Masakeen Ke Libaas Me Bhi Hote Hai isi Liye Kisi Ko Hiraqat Se Nahi Dekhna Chahiye.
Posted on: Fri, 01 Nov 2013 18:19:16 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015