» Hadees : Hazrat Anas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai - TopicsExpress



          

» Hadees : Hazrat Anas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,Kuffar-e-Makkah Ne Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Se Ye Darkhuwast Ki Ke (Apni Nabuwat Ki) Koi Nishaani Batlaiye ? Toh Aap Rasool’Allah ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Chaand Ki Taraf Ungli Se Ishaara Karke Chaand Ke Tukde Ho Jana Dikha Diya. Bukhari : 3637, Muslim : 7076 » Hadees : Hadhrat Abdullah Bin Masud (Razi Allahu Anhu) Se Riyawat Hai Ke,Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Zamane Me Chaand Taqseem Ho Kar Do Tukray Ho Gaya Tha, Aur Aap ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Tha Ke “Logon Iss Par Gawah Rehna.” -: Sahih Al-Bukhari” (Book #56, Hadith #830)
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 10:54:38 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015