∗ Hajj Aur Umrah ….. » Hadees: Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu - TopicsExpress



          

∗ Hajj Aur Umrah ….. » Hadees: Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmate Hai, “Jo Meri Ziyarat Ke Liye Aaya Aur Siway Meri Ziyarat Ke Aur Kisi Matlab Ke Na Aaya Toh Mujh Par Haq Hai Ki Qayamat Ke Din Mein Uski Shafa’at Karu”. -(Tibrani Sharif) » Hadees: Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmate Hai, “Jisne Hajj Kiya Aur Meri Wafaat Ke Baad Meri Qabr Ki Ziyarat Ki Toh Aisa Hai Jaise Meri (Duniyawi) Zindagi Me Ziyarat Ki”. -(Tibrani Sharif) »Jo Shakhs Apne Ghar Se Hajj Ya Umrah Ki Garaz Se Nikle Aur Mar Jaye Toh Use Qayamat Tak Hajj Aur Umrah Karne Waale Ka Ajar Diya Jaata Rahega. -(Shoibul Iman) »Hajj Ko Jaate Waqt Aa’ina, Surma, Kangha, Miswak Saath Rakkhein, Kyunki Yeh Sunnat Hai. -(Bahare Shariat) » Mas’ala: Dikhawe Ke Liye Hajj Karna Aur Haraam Maal Se Hajj Ko Jaana Haraam Hai. -(Bahare Shariat, Jild-6, Page-719) »Hajj Aur Umrah Karne Waale Allah Ta’ala Ke Mehman Hai Aur Agar Ye Allah Se Duwa Kare Toh Allah Unki Duwa Qubool Karta Hai. -(Ibn-e-Majah) »Hajj Karne Waala Apne Gharwalo Me Se 400 Ki Shafa’at Karega Aur Gunaho Se Aisa Nikal Jayega, Jaise Usi Din Uski Maa Ke Pait Se Paida Huwa Hai. -(Bahare Shariyat) » Mas’ala: Jis Shakhs Par Hajj Farz Ho Chuka Ho Aur Usne Aada Nahi Kiya Toh Use Hajj-e-Badli Ke Liye Bhejna Makruh-e-Tahrimi Hai. -(Bahare Shariat, Jild-6,Page-111)
Posted on: Thu, 10 Oct 2013 02:19:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015