Hazrat KhwajaMoinuddeen HasanChishti rehmatullahialaihi Alqab : - TopicsExpress



          

Hazrat KhwajaMoinuddeen HasanChishti rehmatullahialaihi Alqab : KhwajaGareeb Nawaz, Ata eRASOOL ( sallallahu alaihiwasallam ), Sultan-ulHind. *********************** Aap kiwiladat Sajistan(Sistan), Khorasan(Afghanistan) me 536Hijri (1141 A.D.) me hui.Aap ke Waalid ka naamKhwaja SayyedGhayasuddeen binAhmad Hasanrehmatullahi alaihi hai(Jo Husaini saadat hain)aur waalida ka naamBibi Ummal wara (BibiMaahe Noor) binteHazrat Sayyed Dawoodrehmatullahi alaihi hai(Jo Hasani saadat hain).8 baras ki umr me aapke waalid ka inteqal huaaur 16 baras ki aap kewaalida ka inteqal hua.*************************** 544 Hijrime Ek baar aap apnephalo ke bagiche mekaam kar rahe the, tabHazrat IbraheemQandoozi naam ke ekdurwesh waha aae aurbethe. Aap ne unkoapne bagiche me seangoor ka guchha peshkiya aur Unho ne usekhaya aur mehmannawazi se khush hokarapne thele me kuchnikala aur use chabakarKhwaja ko khane ke liyediya. Aap ne khushi kesaath use khaya tounke fayuzo barkaat seaap ke liye ilmo hikmatke darwaze khul gaye.Aur aap ne apna sabkuchh bech diya aur usrakam ko gareebo aurmohtajo ko khairat kardiya aur phir aapSamarkand and Bukharaki taraf ilme deensikhne ke liye rawanaho gaye. 544 se 550 Hijritak aap waha Hazratmaulana Hisaamuddeenaur Hazrat MoulanaSharfuddeen ke paasilme deen sikhte rahe.550 Hijri me aap kimulaqat Huzoor Gauseaazam radiallahu ta’alaanhu se hui.*********************** Aap ekkaamil peer ki talashkar rahe the ke aap neKhwaja UsmanHaarooni rehmatullahialaihi ke baare me suna.552 Hijri me Aap unkepaas gaye aur unkemureed hue. AurIbadate ilahi aurKhidmate murshid karterahe. Ek baar KhwajaUsman Harooni ne aapse kaha ke ‘Moinuddeenniche dekho, kya dikhtahai?’ Aap ne nichedekhkar kaha ke ‘Mainzameen ke andar dekhsakta hu.’ Peer ne phirkaha ke ‘Ab upar dekho,Kya dikhta hai?’ Aap neupar dekhkar kaha ke‘Main aasman ke andardekh sakta hu.’ Peer nefarmaya ke ‘Maintumhe is se bhi aagepahunchana chahta hu.’Phir 22 saal peer kikhidmat me guzarne kebaad, ek din peer ne phirbulakar apni do ungliyaaap ki dono aankho kebich me rakhi aur phirfarmaya ‘Moinuddeen,niche dekho, kya dikhtahai?’ Aap ne nichedekhkar kaha ‘Maintehtussara tak dekhsakta hu.’ Phir peer nekaha ‘Ab upar dekho,Kya dikhta hai?’ Aap neupar dekhkar kaha ‘Mainarshe aazam tak dekhsakta hu.’ KhwajaUsman Harooni nekhush hokar aap kokhilafat ata farmai.************************ Ek baar aapke peer Khwaja UsmanHarooni rehmatullahialaihi ne apne sabmureedo ko jama karkekaha ke ‘Maine tumhejo ilm sikhaya hai us sekuch karamat peshkaro.’ Sab mureedo nebari bari karamat se koichiz pesh ki. Kisi nesona, kisi ne chandi, kisine hire jawaharat, kisine dinaro dirham peshkiye. KhwajaMoinuddeen ne roti ketukde pesh kiye. Sabmureed hansane lage.Itne me darwaje par eksa’il ne aawaz di ke‘Main kai din se bhukahu. Mujhe khane ke liyekuchh de do.’ Sab neapni apni chize uskodena chaha. Magar ussa’il ne kaha ke ‘Main issona -chandi, hirejawaharat, dinarodirham ka kya karun?Mujhe to khane ke liyekuchh do.’ Phir Khwajane apne roti ke tukdeus ko de diye. Us ne uselekar bahut saari duaendi. Is ke baad KhwajaUsman Harooni nefarmaya ke ‘AyeMoinuddeen, tum‘Gareeb nawaz’ ho’.************************* 555 Hijrime Hazrat ShaikhZiyauddeen Abu NajibAbdul Qadir Suharwardirehmatullahi alaihi semulaqat hui. 561 Hijrime Daata Ganj Bakhshrehmatullahi alaihi kemazaar par Chilla-kashiki. ************************** 563 Hijrime Khwaja UsmanHarooni ne aap kojhubba mubarak atakiya aur apne saath hajjko lekar gaye. Ek baaraap Makka shareef meMasjide Haram meibadat me mashgoolthe. Itne me gaib seaawaz aai ‘AyeMoinuddeen, Tera Rabbtujh se raazi hai, jochaho mang lo.’ Aap nefarmaya ‘Aye mereRabb, silsila e chishtiyame daakhil hone waloko bakhsh de.’ Phiraawaz aai ke ‘ Mainetumhari dua quboolfarmai hai aur Qayamattak ke silsila e chishtiyame dakhil hone waleummate mohammadiko bakhsh diya hai.’ Iske baad jab Madinashareef pahunche aurHuzoor Sarwarekaunain sallallahu alaihiwasallam ko Salaampesh kiya ‘AssalatuWassalaamu Alayka YaRehmatullil Alamin’ toRoza mubarak me sejawab aaya ‘WaAlaikum Salaam YaQutbul Mashaikhe BahroBar’ (Aur tum par bhisalaamati ho, Ayezameen aur samundarke buzurgo ke Qutub’.*********************** 580 Hijri meHuzoor Gause aazamradiallahu ta’ala anhu sedobara mulaqat hui. 582Hijri me Isfahaan meKhwaja QutbuddeenBhakhtiyar Kaki komureed banaya aur 585Hijri me Samarkand meunko khilafat atafarmai.*********************** 585 Hijri meaap KhwajaQutbuddeen BhakhtiyarKaki ke saath Harmainshareefain gaye toSarkare Madina Huzoorsallallahu alaihiwasallam ne khwab metashreef laakarfarmaya ke ‘AyeMoinuddeen, Tum deenke madadgar ho. Tumab Hindustan jaao aurwaha jaahiliyat ko doorkarke logo ko deeneislam ka sahi rastadikhao.’*********************** Raaste mebahut saare sufi auliyase fayuzo barkaathaasil karte hue aurhazaro logo ko apnafaiz ata karte aur deenki sahi raah dikhate hueaap Hindustan meLahore me kuchh arseke liye rooke aur phirwaha se 587 hijri (1190A.D.) me 52 baras kiumr me Rajputana(Rajasthan) ilake keAjmer me pahunche.Jaha PrithviRaj Chauhanki hukoomat thi. Ek baarKhwaja apne saathiyoke saath ek darakht keniche bethe the. Itneme Raja ke sipahiyo neaakar kaha ke ‘Tumsab yaha se khade hojaao. Ye raja ke oontoke bethne ki jagah hai.’Aap ne kaha ke ‘Yeoont doosri koi jagahpar bhi beth sakte hain.’To unho ne kaha ke‘Nahi, Ye oont roz yahipar bethte hain.’ To aapwaha se khade ho gaeaur farmaya ke ‘Theekhai. Ab ye oont yahi parbethenge.’ Aur aap doorchale gaye. Phir kuchhwaqt ke baad sipahiyone oonto ko khadekarne ki koshish ki towo waha se khade nahue. Bahut koshishkarne ke baad nakaamhokar wo sab raja kedarbar me haazir he aursaari baaten bayan ki.To usne kaha ke ‘Tumus faqeer ke paas jaaoaur us se muafimaango.’ Wo sipahikhwaja ko dhundhtehue waha pahunche aurmuafi maangi. Khwajane farmaya ke ‘Jaao,tumhare oont khade hogaye hain.’ Unho newaha jaakar dekha towo oont khade ho gayethe. ************************ Is ke baadaap ne bahut saarikaramate dikhai. Jis meAnna sagar ko apnekaanse me sama lenaaur Ajaypal jadoogar kefenke gaye patthar koaasman me hi rok denaaur usko musalmanbanana mashhoor hai.Aap ne apne Roohanifaiz aur Karamaat aurHusne akhlak seHinadustan me Islam kibunyad mazboot ki aurbulandi aur waqar atafarmaya.************************ Ek baar aapAna sagar ke paas seguzar rahe the ki aap neek aurat ki rone kiaawaz suni. Puchhnepar pata chala ke woaurat bahut gareeb thiaur uski gaay mar gaithi. Aap us ke saath usgaay ke paas gaye aurdua ki to wo gaay zindaho gai. Ye dekhkar woaurat aap ke kadmo megir gai.************************ 589 Hijri meAjmer meShahabuddeen Ghori aapke mureed bane. 611Hijri me aap Delhitashreef le gaye.*********************** Aap 7wi sadike Mujaddid hain. Aapne bahut saari kitaabelikhi hain, Jin me Aneesal-Arwaa aur Daleel-ulAarifeen mashhoorhain. *********************** Aapfarmate hain : (1) Kisika dil na dukhao, Hosakta hai ki wo aansutumhari saza ban jaaye.Dukhiyo ki madad karnaaur un ki fariyaad sunnaafzal Ibaadat hai. (2)Jhuti Qasam khane seghar me se Barkat chalijaati hai. Hamesha sachbaat kaha karo.*********************** Aap ki 2biwiya hain aur 3 beteaur 1 beti hain. BibiUmmatullah se (Nikah590 Hijri) (1) KhwajaFakhruddeenrehmatullahi alaihi (2)Khwaja Hisamuddeenrehmatullahi alaihi (3)Bibi Hafeeza Jamaalrehmatullahi alaihi. BibiAsmatullah se (Nikah620 Hijri) Hazrat KhwajaZiyauddeen Abu Saeedrehmatullahi alaihi.************************ Aap KhwajaUsman Haroonirehmatullahi alaihi kemureed aur khalifa hain.Aap se Hindustan meChishtiya silsila jaari hai.Aap ke bahut saaremureedo ne Hindustanme deene islam kiisha’at ka kaam jaarirakha. Aap ke 2 khalifamashhoor hain : (1)Hazrat KhwajaQutbuddeen BakhtiarKaki rehmatullahi alaihi(Delhi) (2) HazratKhwaja HameeduddeenNaagori rehmatullahialaihi (Delhi). In ke ilawaaap ke silsile (khalifa kekhalifa) me bahut saareauliya Allah mashhoorhain : Hazrat KhwajaFareeduddeen Ganjeshakar rehmatullahialaihi (Pak Pattan),Hazrat KhwajaAlauddeen Ali AhmadSaabir Kaliyarirehmatullahi alaihi,Hazrat KhawajaShamsuddeen Turkrehmatullahi alaihiPanipati, Hazrat KhwajaNizamuddeen Awliyarehmatullahi alaihi(Delhi), Hazrat KhwajaNasiruddeen ChirageDelhi rehmatullahi alaihi(Delhi), Hazr
Posted on: Fri, 28 Nov 2014 07:28:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015