Hellow friends.... Mere is status ko bina read kiye comment like - TopicsExpress



          

Hellow friends.... Mere is status ko bina read kiye comment like mt krna first read it than comment its my requast..... or achchha lge to shear krna if you are agree with me.... and agr ise shear krna jruri na smjho to 2-3 din regulr new dekh lena nhi to N.B.T online news dekh lena fir aap shear krna jruri smjhoge...... Ye mene kahi read ki thi vo line yha likhi hai.... Na bujha too battiyan, Na jalatoo mombattiyan... Jhank apne andar ek baar, Dekh kahan hain galtiyan......Kahan gaye cheer badane wale bhagwaan... Kahan gaye asmat bachane wale krishna mahan... Roj roj hote cheer haran se..Kya kam pad gaya unke kapdon ka thaan... Aaj yahan kal wahan hahakaar hua.. Aaj iska kal uska balaatkaar hua... Chood do ginna ab unglion pe... Aaj bahar to kal ghar mein shikaar hua... kuch tv ka to kuch filmon ka haath batate hain... kuch ladkiyon ke pehnaave kadosh batate hain... ye to tarika hai nimn maansikta ko chipane ka varna... kahan log apne ko bhediya batate hain... Jo kal tak ganda vichaar tha aaj charcha-e-bazaar hai.. Jo kal tak chupa tha aaj naachta sare baazaar hai.. Badta hee jayega ab ye na rukega.. Jo kal tak nazar mein tha aaj sasharir tayaar hai.. Pighalta hai mom aur jalta haidhaga... Betiyon ka baap rehta hai poori raat jaaga... Koun jane fir kiski beti ke liyejalegi mombatti... Kare to kya kare vo bechara abhaga.... Kuch to maa kee kokh mein aansuon tale dab gayin.. Bachi jo vo vehshi darindo keebhent chad gayin... Aadhi rehti hain zindagi bhar dari sehmi... Baaki aadhi dahez kee aag mein zinda jal gayin... Koun jaane in paapiyon kee aatma kahan soti hogi... Na ho kisi kee behan beti, maa jarur hoti hogi... Are ye neech harkat karne walon sun lo... Koi roye na roye tumpe tumhari maa jarur roti hogi... Balaatkariyon kee shikayat na karo balaatkariyon se... Kya hoga sadak pe khade pradarshankariyon se... Aage bad ke khud taang do sooli pe sabko... Mat maango bheekh in bhikhaariyon se........ #jaanvi shikera......
Posted on: Tue, 16 Dec 2014 14:32:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015