Holy Prophet(saww):Meri aankhon ki thandak or roshni NAMAZ hai. - TopicsExpress



          

Holy Prophet(saww):Meri aankhon ki thandak or roshni NAMAZ hai. NAMAZ mujhe aisi mehboob hai jaise bhukha khane ko or pyasa pani ko dost rakhta hai. (RUHUL-HAYAT, 282) Imam Ali(a.s): Khudara!! Khudara!! NAMAZ ka khayal rakho, kyunke ye tumhare deen ka sutoon(pillar) hai. (NAHJUL BALAGHA) Janabe Fatema Zahra(s.a): Khuda wand-e-aalam ne NAMAZ ko tumhare liye takabbur se doori karar diya hai. (AYAN-US-SHIA, V-1, pg-316) Imam Hasan(a.s): Aur jo shaks sajde shukr kar raha hai iske liye munasib hai ke woh apni kohniyo(elbow) or apne seene(chest) ko zameen se mila de. (Man La Yahzarul Faqih) Imam Husain(a.s): Talwaar se zyada tez waar mujh par us shakhs ke aansoo karte hain, jo meri musibat par rota to hai magar NAMAZ nahi parhta (Bihar al-Anwar) Imam Sajjad(a.s): Jo aukat-e-namaz ki pabandi karega deenvi lazzat iski nazar me naqis(abortive) honge. (AS-SHAFI, V-2) Imam Baqir(a.s): NAMAZ me khuda ki taraf tawajjo rakho isliye k namaz se wahi miqdar qubool hoti hai jitni tawajjo namaz me hoti hai (ISRAR-E-NAMAZ, pg.89) Imam JAFAR SADIQ(a.s): Shadi shuda ki 2 rakat NAMAZ gair shadi shuda ki 70 rakat namazo se behtar hai. (ROOHUL HAYAT, pg.297) Imam MUSA KAZIM(a.s): Khuda ki marefat k baad sabse afzal cheez se banda khuda se takarrub kar sake wo NAMAZ aur waledain k sath neki hai. (Tohful Okool) Imam ALI REZA(a.s): Us shakhs k liye khatra hai k salamat na rahe, jo roze juma namaz-e-juma adaa karne se pehle safar kare. (Masjid, pg.92) Imam JAWAD(a.s): Dil se khuda ka qasd karna (aamaal me), badan ko takleef dene se zyada behtar hai. (Nokushe Ismat/pg:581) Imam ALI(a.s): Juma k din us waqt tak safar na karo jab tak Namaz-e-Juma adaa na kar lo. (MASJID, pg.92) Imam Hasan Askari(a.s): Roza va Namaz ki kasrat ibadat nahi hai, balke amr-e-khuda ke bare me gaur-o-fikr karna ibadat hai. [Tohful Oqool, pg-488] Imam Mahdi(atfs): Namaz se zyada Shaitan ke naak(nose) ragadne wali koi cheeze nahi hai, lehaza NAMAZ padho aur Shaitan ki naak ragdo. [Biharul Anwar, V53, pg.182]
Posted on: Tue, 03 Dec 2013 11:19:22 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015