Huzoor Akram (sallallahu alaihi wasallam) Ne Farmaya: (ان - TopicsExpress



          

Huzoor Akram (sallallahu alaihi wasallam) Ne Farmaya: (ان اعظم النكاح بركةايسره موانه) Badi barkat wala woh Nikah hai jisme bojh mushaqqat kam ho. (mishkat.safa-No 268) Huzoor NABI-E KAREEM sallallahu alaihi wasalam ka irshad hai: jis ghar me ladki paida hoti hai us me Rahmat wa Barkat dakhil hoti hai,magar aaj kal ladkiyon ko aam taur par is liye achha nahi samjha jata ke unhe jahez dena padta hai,jo bahut gira’n guzarta hai ke insan ladki bhi de aur maal-o daulat bhi samet kar sath de,aur fir khabar nahi ke woh Sasral ko raas bhi aaye ya na aaye.woh use aabad karenge ya barbad,magar kisi taraf se aurat ko ke asli jahez aur saman-e zeb-o zeenat (deeni taleem) ki tayyari nahi ki jati,balke aarzi aur numaishi cheezon ki farahimi aur farmaish ki jati hai,jiski wajah se ghar ki khairo barkat door ho jaati. Isliye zarurat hai ke har musalman apni ladki ko khaanadari ki tarbiyat aur deen ki taleem de,-take use haqqullah wa haqqul ibad ada kare. Auqat se ziyada jahez dekar apni chadar se ziyadah paon na failayen,qarz na uthayen,jaidad na beche kisi ki haq talfi na kare,birardi se na sharmayen,bas apna farz ada karne ki koshish Karen. NAUJAWANO!BAAGAIRAT BANO! Kisi Aurat se mahaz is liye Shadi karna ke uska maal hazam kare intihayee be gairti aur kameena pan hai. Aurat ki kamayee par palne aur uske maal par jeene waala “ MARD” nahi hijdha hai-kyun ke mard Aurat ko kama Kar khilata palata hai,uski kamayee nahi khata. Us kameene ki majlis se bacho aur usko samaj se bahar kardo,aur har ek naujawan apne Walidain se kaihden ke mai ba kirdar ladki se shadi karunga,agarcheuske walidain ko ek waqt ki roti bhi mayassar na ho,aur jahez bhi nahi lunga. . Ladki ke waalidain ko bhi chahiye ke woh hosh se kam le-agar Sasral wale jahez mange to unhe apni ladki na de,agar ye taqaza barat aane ke waqt hi kyun naho,aisi surat me NIKAH padhaye bagair barat wapas karde,is me sharmindagi mahsus na kare warna apne hathon aap apni Ladki ko jahannam me dhakel kar khud bhi hamesha ke liye azab me mubtala aur ladki bhi.kyu ke sasral walon ko ladki ki bajai aap ke maal ki ziyadah zarurat hai,zahir hai qadar usi cheez ki hoti hai jiski zarurat ho. Haa agar honhaar wa baakirdar Ladka miljaay chahe woh gareeb hi ho usse apni ladki ki shadi karne me der na kare,na hi kisi qism ki sharam mahsus kare,agar gunjaish ho to Ladke ko kuchh Raqam dekar aone zer nigrani me koi kaam kara den,take woh apne paon par khadha ho sake. Ladke ko bhi chahiye ke woh raqam qarz ki niyat se le,aur ye samjhe ke maine ye raqam wapas karni hai,agarche baad me woh ladki wale khudhi maaf kyun na karde,aur unke dugna Ehsan ka shukr guzar ho. . ALLAH PAK SE DUWA HAI KE INSARI BATON PAR AMAL KARNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYE..... AAMEEN . . . @aamir...khan
Posted on: Thu, 05 Dec 2013 07:25:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015