Imaam Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi : - TopicsExpress



          

Imaam Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi : ♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦ Alqab : Aa’la Hazrat, Mujaddeede deeno millat, Imaame Ahle sunnat, Faazil-e-Bareilvi. ********** Aap ki wiladat 10 Shawwal 1272 Hijri (14 June 1856 A.D.) ko Bareilly shareef (U.P.) me hui. Aap ke waalid ka naam Naqi Ali Khan ibn Raza Ali Khan aur waalida ka naam Amman bibi hai. ********** Aap bachpan se hi bade zaheen the. Aap ne 4 baras ki umr me Qur’an majeed ka khatm mukammal kiya. Aap ne apne waalid se ‘Darse Nizami’ ki taalim mukammal ki. Aap ne Mirza Ghulam Qadir Baig rehmatullahi alaihi se Meezan aur Munshab ki taaleem haasil ki. Aap ne 6 baras ki umr me Rabi-ul-Awwal me Milade Rasool ke unwan par shaandar taqrir farmai. 8 baras ki umr me arabi zaban me 1 kitaab likhi. 14 Shaaban 1286 Hijri ko 13 baras 10 maah ki umr me pehla Fatwa likha aur Dastaare Fazeelat ata ki gai. ********** Bachpan me aap ne Mahe Ramazaan me roza rakha. Bahut garmi hone ki wajah se aur aap par abhi roza farz nahi tha is liye aap ke waalid aap ko ek kamre ke andar le gaye aur kamra band karke mithai di aur kaha ‘Ise kha lo’. Aap ne kaha ‘Maine roza rakha hai.’ Aap ke walid ne kaha ‘Darwaza band hai, Koi nahi dekhega. Tum kha lo. Tum abhi bache ho.’ Aap ne kaha ‘Bhale koi na dekh raha ho. Magar mera rabb jiske liye maine roza rakha hai wo to dekh raha hai.’ ********** 1291 Hijri (1874 A.D.) me 18 baras ki umr me aap ka nikah Sayyeda Irshaad Begam bint Shaikh Fazl Hussain se hua. Aap ke 2 bete aur 5 betiya hain. 2 Saahabzade - Haamid Raza Khan (Hujjat-ul-Islaam) aur Mustafa Raza Khan (Huzoor Mufti e Aazam e Hind) ********** 1294 Hijri (1877 A.D.) me Hazrat Maulana Abdul Qadir Badayuni rehmatullahi alaihi Bareilly Shareef aaye aur aap unki dawat se unke saath Mahrera shareef gaye. Jab waha pahunche to aap ne farmaya ‘Mujhe mere peer ki khushbu aa rahi hai.’ Jab aap Khanqah-e-Barakaati me pahunche to Sayyiduna Shah Aale Rasool Mahrerawi rehmatullahi alaihi ne aap ko dekhkar farmaya ‘Aao. Main kab se tumhara intazar kar raha tha.’ Aap a bai’at karke Hazrat ke mureed ho gaye. Hazrat Sayyiduna Abul Hussain Noori Barkaati rehmatullahi alaihi ne aap se farmaya ke ‘Yaha mureed hokar khilafat hasil karne ke liye aane walo ko pehle mujahida karna padta hai. Jab wo us darje par pahunch jaata hai tab hi use khilafat aur ijazat milti hai.’ To Sayyiduna Shah Aale Rasool rehmatullahi alaihi ne foran kaha ke ‘ Aye logo, Ahmad Raza pehle hi se ALLAH ta’ala ki taraf se sanwaar karke bheja gaya hai. Sirf use silsile se jodna tha. Qayamat jab me main Rabb ta’ala ke saamne khada rahunga aur mujhe puchhega ‘Tum apne saath kya laaye ho’ to main kahunga ‘Aye mere Rabb tera ata kiya hua Ahmad Raza lekar aaya hu.’ ********** Aap ne 2 baar Hajj ada kiye : 1295 Hijri (1878 A.D.) me apne waalid ke saath Aur 1323 Hijri (1906 A.D.) me apne bhai Maulana Hasan Raza Khan aur bete Haamid Raza Khan ke saath. ********** Aap ko sunnato hadees par mukammal yaqeen tha aur har amal sunnato hadees ke mutabik hi karte the. Aap farmate hain ke ‘Wali ki asl karamat ye hai ke wo hamesha nek aur parhezgar hota hai aur shariat aur sunnat par amal karta hai. (1) Ek baar ye afwah faili ke Bareilly Shareef me Taoon (Plague) faila hai. Ittefak se Aa’la Hazrat ko masoodo me soojan ho gaya aur dard itna shaded tha ke aap ka munh bhi khul nahi pata tha aur tez bukhar bhi tha. Jab doctor ko bulaya gaya to usne jaanch karne ka baad kaha ke ‘Aap ko Plague hone ka andesha hai.’ To aap ne kaha ke ‘Ye mumkin nahi hai. Kyun ke Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne ek dua batai hai au farmaya hai ke jab koi badi beemari failne ki khabar suno to is dua ko padh lena. In sha Allah hifazat ho jaayegi. Aur maine is masnoon dua ko padh liya hai.’ Phir aap ne farmaya ‘Aye ALLAH, Tere Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke farman ko sahi saabit kar de.’ Itne aap ne gaib se ek aawaz suni ke miswaak aur kaali mirch istemal karo. Aap ne taklif bardasht karte hue bhi miswaak kiya aur apne munh me kaali mirch ke daane rakhe. Aisa karne se ALLAH ke karam se aap ki taklif kam hone lagi aur aap me phir se taaqat aane lagi. Aur is tarah us doctor ko maanna pada ke uski tashkees (diagnosis) galat thi. (2) Aap 1295 Hijri (1878 A.D.) me aap ke walid ke saath hajj ke liye gaye. Hajj ke safar me jahaz se wapas aate waqt samundar me toofan shuru ho gaya. Jahaz ke kaptan ne aakar kaha ke ‘Toofan itna tez hai ke shayad ham nahi bach sakte.’ Ye sunkar aap ke walid ne kaha ke ‘Aye mere bete, Mujhe mujh se zyada tumhari fike hai.’ Aap ne farmaya ke ‘Hame kuchh nahi ho sakta kyun ke maine jahaaz par sawar hote hi bahri Sawari (Safar) ki masnoon dua padh li thi aur mujhe yaqeen hai ke mere Aaqa sallallahu alaihi wa sallam ka farman hamesha sahi hota hai. Is liye hamare jahaaz ko kuchh bhi nahi hoga.’ Thodi der me toofan rook gaya aur kaptan ne aakar kaha ke ‘Ab hamare jahaz ko koi khatra nahi hai.’ ********** Aap ne apne har amal se Huzoore akram RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam aur Aale rasool ke mukammal ishq ka saboot diya. (1) Ek baar aap doli me bethkar Bareilly Shareef ke bazaar se guzar rahe the. Aap ne doli uthane walo ko doli rokne ke liye kaha aur puchha ‘Tum me se saadat kaun hai?’ Kisi ne jawab nahi diya. Aap ne phir se ilteja karte hua ke ‘Meharbani karke bata do ke aap me kaun saadat hai. Mujhe aale rasool ki khushboo aa rahi hai.’ Tab ek hazrat ne kaha ‘Main aale rasool hu. Gareebi aur majboori ki wajah se main doli uthane ka kaam kar raha hu.’ Aap ne foran haath chumkar kaha ke ‘Mujhe muaf kar dena.’ Phir aap ne us sayyedzade ko doli me bithaya aur khud unki jagah par doli uthakar chalne lage. (2) Ek baar ek saadat aap ke paas aaye. Aap ne dekha ke unke haath me sone ki angoothi thi. Jab wo ja rahe the to aap ne un se kaha ke ‘Agar aap theek samajhe to ye angoothi kuchh dino ke liye mujhe rakhne ke liye den. Main ise behtar karke dunga.’ Us saadat ne aap ko wo angoothi de di. Aap ne kuchh sona milakar us me se chudiya banakar us hazrat ko bulakar di aur faramaya ke ‘Ye aap ki biwi ke liye hai.’ Unko saari baat samajh me aa gai. *********** Bareilly Shareef me ek shakhs Auliya, Peero Murshid aur bai’at me nahi manta tha. Us ka ek dost Aa’la Hazrat se milne ke liye ja raha tha. Us ne us shakhs se kaha ke ‘Tum mere saath Aa’la Hazrat se milne chalo aur waha un se is baare me mobahisa kar lena. Wo ye baat kar raha tha ke us shakhs ne ek dukan me taazi mithai dekhi. Us ne kaha ke ‘Pehle ye mithai lete hain, Phir main tumhare saath chlta hu.’ Us ne kaha ke Aa’la Hazrat milne ke baad wapas aate waqt raste me yaha se mithai le lenge. Bahut samjhane par wo maana. Aur dono Aa’la Hazrat ki baargah me gaye. Dono waha bethe the, itne me ek mureed kuchh mithai lekar aaya aur waha haazir sab ko taqseem karne ke liye kaha. Aa’la Hazrat ke darbar me ye tareeqa tha ke jin ki dadhi hoti unko do hisse diye jaate aur bagair dadhi wale ko ek hissa diya jaata kyun ke wo bache jaise lagte hain. Is liye jo mureed taqseem karne ke liye khada hua wo isi tarah sab ko de raha tha. Jab us shakhs ki baari aai to wo mureed use ek hissa de raha tha. Tab Aa’la Hazrat ne use do hisse dene ke liye kaha. To us mureed ne kaha ‘Hazrat, Iski dadhi nahi hai.’ Aa’la Hazrat ne farmaya ‘Us ko do hisse khane ki khwahish hai.’ Us shakhs ne jab ye suna to use pata chal gaya ke Aa’la Hazrat ko uske dil ki khwahish bhi khabar ho gai hai. Wo sharminda hua aur Aa’la Hazrat ka mureed ho gaya. ********** Ek baar ek shakhs ko koi aisi badi beemari ho gai ke kisi bhi tarah theek nahi ho raha tha. Wo door ilaake me kisi achhe doctor ka ilaj karane ke liye soch raha tha. Kisi ne use pehle Aa’la Hazrat se milkar baat karne ke liye mashwara diya. Jab wo Bareilly Shareef pahunchkar Aa’la Hazrat ko talash karta hua masjid me pahuncha. Aa’la Hazrat wuzu ke liye ja rahe the. Use dekhkar aap ne farmaya ke ‘Tum tumhari beemari ke liye aaye ho to uska ilaaj is tarah karo. In sha Allah tumhe shifa mil jaayegi.’ ********** Ek baar kisi ne khat me aap ke naam ke saath ‘Haafiz’ likh diya. Aap ne jab padha to socha ke main haafize Qur’an nahi hu. Is liye mujhe hafiz kehna sahi nahi. Magar main jald hi haafize Qur’an ban jaaunga. Phir mahe Ramzan me eisha ke waqt me azaan aur namaz ke dauran Hazrat Allama Mufti Amjad Ali rehmatullahi alaihi aap ko Qur’an majeed ka ek para padhkar sunate aur aap usko namaze taraweeh me Qir’at me padhte. Aur is tarah Ramzan ke khatm hone tak aap Haafize Qur’an ho gaye. ********** Log agar kisi masale ke liye talash karte to Aaala Hazrat bagair kitaab dekhe safa number ke saath uska jawab dete. Aap din ko suraj dekhkar aur raat me sitare dekhkar ghadi me waqt mila lete aur 1 minute ka bhi farq na hota. ********** Aap Imaame Ahle sunnat aur 14wi sadi ke Mujaddeed hain. Shaikh Isma’il bin Khalil aur Shaikh Musa Ali Shami aur dusre arab ulema ne aap ko Mujaddeed kaha hai. ********** Aap ne apni kitaabo aur bayano me bahut si buri bid’ato ko radd kiya hai. (1) Mazaar (ya Qabr) ko Sajda, Rooku ya Tawaf karna. (2) Aurto ka mazaarat par jaana. (3) Mausiqi aur saaz (Music) wali Qawwali. (4) Mazaar par ya Majlis ya Juloos me nachna, gana-bajana. (5) Taaziyadari. ********** Jab Mirza Ghulam Ahmad Qadiani ne Imaam Mahdi hone ka aur phir Nabi hone ka dawa kiya tab Aap ne 1905 me Hajj ke liye gaye to ‘Al Motamad Al Mustanad’ naam se ek tahreere saboot (Document) tayyar karke Makka aur Madina ke ulema ko pesh kiya aur phir Hejaz ke 33 ulema ki raay aur faisla jama karke Arabi me ‘Husam al Harmain’ naam ki kitaab tayyar ki jis me Mirza Ghulam Ahmad Qadiani ke kaafir hone ke saboot diye gaye hain. ********** Aap ne Wahabi aur Deobandi ke Ashraful Ambiya Khairul bashar RasoolAllah sallallahu alaihi wa sallam ki gustakhi bhare bad-aqeedo ko radd karte hue saboot pesh kiya. (1) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam Insan-e-kamil hone ke saath noor bhi hain. (2) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ko ALLAH ta’ala ne Mukhtaare kul banya hai. (3) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam Haazir naazir hain. (4) Huzoor Mohammad Mustafa sallallahu alaihi wa sallam ko ALLAH ta’ala ne Ilme gaib ata kiya hai. (5) ALLAH ta’ala ne apne Ambiya, Auliya aur Shohada ko wisal ke baad bhi Aalame baqa me hamesha ki zindagi ata farmai hai. (6) ALLAH ta’ala ke muqarrab bande ya’ni Ambiya, Auliya, Shohada, Ahle bait aur Saleheen ka waseela lena jaiz hai. ♣ 1323 Hijri (1906 A.D.) me jab aap dusri baar Hajj ke liye gaye the to Makka me sirf 8 ghante me Huzoor sallallahu alaihi wa sallam ke Ilme gaib ke saboot par ‘Addaulatul Makkiyah’ naam ki kitaab likhi. Jise padhkar arab ke aalimo ne aap ko Imaam maana. ********** Tehreeke Khilafat ke dauran Mohandas Gandhi ko kisi ne Ahmad Raza Khan se milne ka mashwara diya. Jab aap ko bataya gaya ke Gandhi aap se milna chahte hain to aap ne farmaya ke ‘Wo kis baare me guftagoo karna chahte hain? Deeni ya Dunyawi? Agar dunyawi muamale me guftagoo karna chahte hain to main un se nahi mil sakta. Mujhe dunyawi baato me dilchashpi nahi hai.’ *********** 1912 A.D. me Aap ne ‘Kanz-ul -Eimaan fi Tarjuma al-Qur’an’ naam se Qur’an majeed ka Urdu tarjuma kiya hai. Aap ne 55 se ziyada uloom par taqriban 1000 kitaabe likhi hain. Un me se kuchh kitaabe mashhoor hain : (1) Fatawa Radhvia (12 Jild) (2) Ahkame Shariat (3) Malfuzat (4) Husamul Harmain (5) Fatawa Harmain (6) Addaulatul Makkiyah (7) Al Fuyuzaatul Makkiya (8) Azzubdatuz Zakiyya (9) Al-Ijaazatul Mateenah (10) Kiflul Faqeeh Aap ne bahut saari mahshoor Hamde baari ta’ala, Naate Mustafa, Manqabat, Munajaat likhi hain. *********** Aap Hazrat Sayyed Shah Aale Rasool Mahrerawi Qadri rehmatullahi alaihi ke mureed aur khalifa hain. Aap se Tareeqat ka Silsila e Razawiya jaari hai. *********** Aap ke 2 beto ke ilawa aap ke bahut saare shagird hain, Jin me Sadrus Shariah Amjad Ali al-A’zami, Muhaddise aazam Sayyed Muhammad Kachauchhwi, Allama Hashmat Ali Khan, Malik al-Ulema Zafaruddin Bihari, Qutbe Madina Ziya’uddin Ahmad al-Madani mashhoor hain. *********** Aap ke wisal ke kuchh waqt pehle Sham (Syria) ke kisi wali ne Baitul Muqaddas me khwab me dekha ke Huzoore akram sallallahu alaihi wa sallam ki mehfil me aap ke aas-paas kuchh ashaba bethe hai jaise wo kisi ka intazar kar rahe the. Unho ne puchha ‘Ya Rasoolallah sallallahu alaihi wa sallam, Aap kis ka intazar kar rahe hain? Aap ne farmaya ke ‘Ahmad Raza Khan.’ Unho ne puchha ‘Ahmad Raza Khan kaun hain?’ Aap ne farmaya ke ‘Hindustan ke Bareilly ka ek aalim.’ Jab unki aankh khuli to foran Syria se Bareilly aane ke liye nikal pade. Lekin jab wow aha pahunche to pata chala ke Imam Ahmad Raza Khan ka inteqal ho chukka tha. *********** Aap ne wisal se pehle wasiyat ki thi ke meri namaze janaza Maulana Haamid Raza Khan ya Allama Amjad Ali padhayen aur mere janaza ko ‘Kaabe ke Badru Duja’ padhte hue le jaayen aur meri qabr ko itni gehri banana jitni meri unchaai hai. Apne wisal ke 42 minute pehle aap ne farmaya ‘Mere kamre se paisa, lifafa, card wagairah hata do kyun ke us par tasweer bani hoti hai.’ *********** Aap ka wisal 25 Safar 1340 Hijri (28 October 1921) ko azane Jum’ah ke dauran 65 baras ki umr me hua. Aap ka mazaar Bareilly Shareef (Uttar pradesh) me hai. *********** ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Aa’la Hazrat Imaame Ahle sunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihi aur Tamam Auliya Allah ke waseele se Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
Posted on: Thu, 07 Nov 2013 00:48:25 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015