∗ Imaan Laane Me Kaun Zaida Afzal Hai ? ….. . Hadees e Nabavi - TopicsExpress



          

∗ Imaan Laane Me Kaun Zaida Afzal Hai ? ….. . Hadees e Nabavi (Sallallho Aleyhi Wa sallam) Rasool Allah (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Ek Martaba Sahaba Se Puchha, . “Tumhare Nazdeek Emaan Laane Me Kaun Ziaida Afzal Hai ? . Unhone(Sahaba Ne) Kaha : Farishte ! . Aap (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya : Wo Emaan Kyun Na Laayein, Woh Toh Apne Rab Ke Paas Hi Hain. . Logo Ne Fir Kaha : Ambiya ! . Aap Ne Farmaya : Wo Emaan Kiyun Na Laayein Unn Par Toh Wahi Naazil Hoti Hai. . (Phir Sahaba Logo Ne) Kaha : Hum! . Aap Ne Farmaya : Tum Emaan Ko Qubool Kiyun Na Karte, Jab Ke Mai Tum Me Moujood Hoon. . Suno!! Mere Nazdeeq Sabse Ziaida Afzal Emaan Waale Woh Log Honge Jo Tumhare Baad Aayenge, Sahifo Mei Likhi Huyi Kitaab Payengey, Uss Par Emaan Layenge. -: (Tafseer Ibn Kaseer Jild :1 Page 77) Alhamdulllah! . ALLAH ka shukr Hai Hum Sunni Musalman Hain... . ALHAMDULILLAH
Posted on: Thu, 18 Jul 2013 19:26:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015