Isa Alaihi Salam ne kaha, Beshaq Allah hi mera aur tumhara RAB hai - TopicsExpress



          

Isa Alaihi Salam ne kaha, Beshaq Allah hi mera aur tumhara RAB hai isliye usi ki bandagi karo English Translation:- (Remember) when the angels said: O Maryam (Mary)! Verily, Allah gives you the glad tidings of a Word [Be! - and he was! i.e. Îsa (Jesus) the son of Maryam (Mary)] from Him, his name will be the Messiah Îsa (Jesus), the son of Maryam (Mary), held in honour in this world and in the Hereafter, and will be one of those who are near to Allah. He will speak to the people in the cradle and in manhood, and he will be one of the righteous. She said: O my Lord! How shall I have a son when no man has touched me. He said: So (it will be) for Allah creates what He wills. When He has decreed something, He says to it only: Be! - and it is. And He (Allah) will teach him [(Îsa (Jesus)] the Book and Al-Hikmah (and) the Taurat (Torah) and the Injeel (Gospel). And will make him [(Îsa (Jesus)] a Messenger to the Children of Israel (saying): I have come to you with a sign from your Lord, that I design for you out of clay, a figure like that of a bird, and breathe into it, and it becomes a bird by Allahs Leave; and I heal him who was born blind, and the leper, and I bring the dead to life by Allahs Leave. And I inform you of what you eat, and what you store in your houses. Surely, therein is a sign for you, if you believe. And I have come confirming that which was before me of the Taurat (Torah), and to make lawful to you part of what was forbidden to you, and I have come to you with a proof from your Lord. So fear Allah and obey me. Truly! Allah is my Lord and your Lord, so worship Him (Alone). This is the Straight Path.{Al Quran,Surah Aal-e-Imran(3),Verse 45-51} --------------------------------------------- Urdu Translation:- Jab farishton ne kaha Eh mariyam Allah tujhko ek betey ki apni taraf se basharat (khushkhabri) deta hai uska naam Maseeh Isa Ibn mariam hoga jo duniya aur aakhirat mein martabey wala hoga aur Allah ke muqarrabo (khas bando) mein se hoga Aur jab wo Maa ki Gode mein hoga aur badi umar ka hoga to logon se baatein karega aur neiko mein se hoga Mariyam ne kaha Eh mere RAB mujhe Beta kaisey hoga halanki mujhe kisi Aadmi ne haath tak nahi lagaya , farmaya isi tarah Allah jo chahey paida karta hai jab kisi kaam ka irada karta hai to usko yahi kahta hai ki ho ja to wo ho jata hai Aur wo (Allah) unhey (Isa alaihi salam ko ) likhna ( parhna) aur danayee aur taurat aur Injeel (Gospel ) sikhayega Aur unko (Isa alaihi salam) ko bani israeel ki taraf Rasool bana kar bhejega (aur wo kahengey ki) beshaq main tumhari RAB ki taraf se tumharey pass nishaniyan lekar aaya hu ki main mitti se ek parindey ki shakal bana deta hu phir usmein phoonk marta hu aur wo Allah ke hukm se udta hua jaanwar ho jata hai aur jo Maa ke pet se andhey aur kodi hotey hain unhey achcha kar deta hu aur main tumhey bata deta hu jo kuch tum khakar aao aur jo kuch apney gharon mein rakhkar aao ismein tumharey liye nishaniyan hai agar tum iman waley ho aur mujhse pahli kitab jo taurat ( The book of jews) hai uski tasdeeq karney wala hu taki tum par kuch cheezein halal kar du jo tum par haram thi aur tumharey pass tumharey rab ki taraf se nishani lekar aaya hu isliye Allah se daro aur mera kaha mano Beshaq Allah hi mera aur tumhara RAB hai isliye usi ki bandagi karo yahi seedha raasta hai {Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3), Verse 45-51}
Posted on: Mon, 10 Mar 2014 05:52:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015