Ishq minnat kaash E qaraar nahi Husn majboor E intezaar nahi Teri - TopicsExpress



          

Ishq minnat kaash E qaraar nahi Husn majboor E intezaar nahi Teri ranjish ki intehaa maloom HasratoN ka miri shumaar nahi Apni nazreN bikher de saaqee Mai ba-andaazaa E khumaar nahi Zer E lab hai abhi tabassum E dost Muntashir jalwa E bahaar nahi Apni takmeel kar raha hun maiN Warna tujh se to mujh ko pyar nahi Charaa E intezaar kaun kare Teri nafrat bhi ustawaar nahi ‘sHOAIB’ zinda raheN wo haiN to sahi Kya huaa gar wafa shu’aar nahi SHOAIB
Posted on: Thu, 08 Aug 2013 21:09:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015