......... Jadeed Science Quran ki Tasdeeq karte - TopicsExpress



          

......... Jadeed Science Quran ki Tasdeeq karte Hue......... Jis shaks ko Allah hidayat dene ka Iradah farmale, uska Sina Islam k liye khol deta hai, Aur jise wo Gumrah karna Chahta hai, Us k liye sine ko tang aur itna Zyada tang kar deta hai k Goya use Aasman par chadhna pad raha hai”.(Quran 6:125) Science dano ka kehna hai k Aasman ki taraf jate hue Oxygen ki kami ki wajah se dum ghutne lagta hai aur sans lene mein shadeed dushwari hoti hai, isiliye shadeed ghutan se bachne k liye hawayi Jahazon mein Masnu’i Oxygen ka intezaam hota hai. 1400 saal Qabl Quran Majeed ne Aasman par chadhte hue sina tang aur dum ghutne ki science haqiqat ko bayan kardiya tha, ye is baat ka wazeh saboot hai k ye Quran kisi Insan ka nahi balke Allah Rabbul Aalameen ka Kalam hai. Tasdeeq-Sach karna, Sach hone ki Taaid, Saboot. ♥ S U B H A N A L L A H ♥
Posted on: Thu, 17 Oct 2013 05:58:26 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015