∗ Jumma Ki Namaz . » Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye - TopicsExpress



          

∗ Jumma Ki Namaz . » Hadees: Aye Musalmano Ke Giroh! Beshaq Ye Jumma Woh Din Hai Jisko Allah Ne Eid Banaya Hai. -: (Mishkat Hadees No. 123) ∗ Jumme Ke Din Kasrat Se Duruud Parhe !! » Hadees: Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Jo Mujhpar Jumma Ke Din Durood Parhe, Mai Uski Shafa’at Karunga. -: (Kanzul Ummal Jild, 1 Safa 225 Hadees : » Hadees: Jo Jumme Ke Din Ya Raat 100 Bar Durood Parhe, Uski 100 Hajate Puri Hongi. 70 Aakhirat Me Aur 30 Dunyavi. -: (Musnad Abu) ∗ Jumme Ki Namaz Na Chhore !! » Hadees: Jisne Jumme Ki Namaz (2 Rakat Jumma) Se Pehle, 4 Sunnat Namaz Aur Jumma Ke Baad 4 Sunnat, 2 Sunnat, 2 Nafil Parhi, Allah Uss Par Jahannam Ki Aag Haram Kar Dega. -: (Tirmizi shareef V1 Hadees:410) » Hadees: Jumme Ki Namaz Ke Liye Azan Di Jaye, Toh Tum Allah Ki Yaad Ke Liye Chal Pado, Ke Tumhare Liye Behtar Hai Agar Tum Jante Ho.(Quraan.sure jummah.) » Hadees: Juma Ki Namaz Jumma Se Juma Tak Ke Liye Kaffara Hai. Shart Hai Ki Gunah-e-Kabeera Se Bacha Jaye. -: (Muslim Sharif) » Hadees: Jo Shakhs Bagair Kisi Uzr Ke “3″ Juma Ki Namaze Chhor Deta Hai, Allah Ta’ala UsKe Dil Par Mohar Laga Deta Hai -: (Ibn-e-Maja, Jild-1, Page No.75) » Hadees: Jo Shakhs Khutba Shuru Hone Ke Bad Harkat Karta Hai, Ya Pehlu Badalta Hai Woh Lagw(Bekar) Amal Hai. ∗ Jumme Ke Din Khas Tor Se Gusl Kare, Ye Jumma Ki Sunnato Me Se 1 Hai !! » Hadees: Nabi-E-Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya, Har Baaligh Par Jumma Ke Din Ghusl Karna Waajib Hai. -: (Bukhari J:1 S:121) » Hadees: Jumma Ka Gusl Aadmi Ke Gunaho Ko, Uski Baal Ke Jad Se Kheech Leta Hai. -: (Tibrani) » Hadees: Jo Shaks Jumma Ke Din Gusl Karke Awwal Waqt Me Masjid Jaye, Goya Usne Oont(Camel) Ki Qurbani Ki. -: (Muslim Sharif) ∗ Duao Ki Qubuliyat Ka Din Bhi Hai Jumma !! » Hadees: Juma Ke Din Ek Pal Hai Jo Bhi Dua Iss Pal Me Ki Jaye Woh Qubool Hoti Hai. Jo Shakhs Jumma Ke Din Sura-E-Kahaf Padhega Toh Uske Liye Dono Jumma Ke Darmiyan Ek Noor Chamakta Rahega. -: (Nisaai Sharif) ∗ Jumma Ki Sunnate » Gusl Karna, Saaf Kapde Pehanna, Khushbu Tel Surma Lagana, Nakhun Katna, Masjid Jald Jana Sureh Kahaf Parhna,(Tirmizi;Muslim,Bukhari) Jumma mubarak bhai log...
Posted on: Thu, 19 Sep 2013 20:12:29 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015