KHASSI AUR GHAIR KHASSI JANWAR KI QURBANI: Khassi aur ghair khassi - TopicsExpress



          

KHASSI AUR GHAIR KHASSI JANWAR KI QURBANI: Khassi aur ghair khassi dono qism k janwar ki qurbani karna sunnat se sabit hai. Rasulullah s.a.w k khassi janwar ki qurbani karne per wo hadees dalalat karti hai jis ko imam abu yala ne hazrat jabir bin abdullah se riwayat kiya hai k "Yaqeenan Rasulullah s.a.w k paas 2 seengon wale , chitkubre, bade bade khassi mendhe laye gaye .Aap ne in dono me se ek ko pachada aur fermaya; "Allah taala k naam se aur allah taala sab se bada hai . Muhammad s.a.w aur un ki ummat ki taraf se , jinho ne teri tauheed ki gawahi di aur mere paigham (ilahi) ko pahonchane ki shahadat di".. -------------------------------------- Rasule kareem s.a.w k ghair khassi janwar ki qurbani dene per wo hadees dalalat kuna hai jo Hazrat abu saeed khudri se riwayat hai unho ne kaha "Rasulullah s.a.w seengon wale , ghair khassi mendhe ki qurbani kiya karte the (aur) us ki aankhein , mu aur hath paon siyah hoye the".... (Sunan abi daud Hd 2793 Sunan tirmizi Hd 1529)
Posted on: Mon, 07 Oct 2013 14:42:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015