KYA AAP JANTE HAIN? . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi - TopicsExpress



          

KYA AAP JANTE HAIN? . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ki “WILADAT” Hazrat Aadam (Alaihissalam) ke kitne dino baad hui? . >> JAWAB : Aap (sallallahu alaihi wasallam) ki Wiladat baa Sa’adat , Hazrat Aadam (Alaihissalam) se chhay Hazar Sat sau (6750) Saal baad hui. {Tafseer Naimi-Jild-04-Safa No-416} . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ki “WILADAT” Hzarat Nooh (Alaihissalam) ke Maabain kitne Zamane ka Fasla hai? . >>JAWAB : Aap (sallallahu alaihi wasallam) ki Wiladat baa Sa’adat , Hazrat Nooh (Alaihissalam) ke Mabain CHAR HAZAR CHAR SAU NAVVE (4490) Saal ka Fasla hai. {Ma’arij-Un-Nubuwwah-Safa-No-32} . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ki “WILADAT” Hazrat Ibraheem (Alaihissalam) ke Kitne Saal Baad hui? . >> JAWAB : Hazarat Ibraheem (Alaihissalam) ke Teen Hazar Sattar (3070) Saal baad,Huzoor (sallallahu alahi wasallam) ki Wiladat hui. {Ma’arij-Un-Nubuwwah-Safa-No-32} . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ki Tashreef Aawari,Hazrat Moosa (Alaihissalam) ke kitne Saal bad hui? . JAWAB : Zaman-e Moosa (alaihissalam) ke DO HAZAR TEEN SAU (2300) Saal Mukammal hone ke Baad Rasoole Kareem (Sallallahu alaihi wasallam) ki Tashreef Awari hui. . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) ki Raunaq Afrozi Hazrat Dawud (Alaihissalam) ke kitne Saal Baad hui? . >> JAWAB: Hazrat Dawud (Alaihissalam) ke EK HAZAR AAT SAU (1800) Saal baad Huzoor (Sallallahu alaihi wasallam) ne AAlam ko apni Tashreef Musharraf farmaya. {Ma’arij-Un-Nubuwwah-Safa-No-32} . • SAWAL : Huzoor Akram (Sallallahu alaihi wasallam) aur Hazrat Eisa (Alaihissalam) ke Maabain ka zamana kitne saal ka hai? . >> JAWAB : Is sil sile me Aimma Tafseer ke kayee AQWAL hain… (1) Huzoor Sayyede Alam (sallallahu alaihi wasallam) aur Eisa Ruhulla ke Darmiyan zamana Panch sau Pchas (550) saal ka hai. {khaza-e Un Irfan-Parah-30-Ruku-08} (2) Tafseer Jalaleen me is ki MUddat PANCH SAU UNATTAR (569) Saal hai (3) Hazarat Qatada kahte hain PANCH SAU SATH (560) Saal hai. (4) Abu Usman Hindi ke Muta biq CHAI (600) Saal hai {hashiya Jalaleen-Safa No-97} Allahu A’alam wa Rasulo A’ALAM(azza wajal. Wa ,Sallallahu alaihi wasallam)
Posted on: Tue, 23 Jul 2013 00:21:52 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015