Kabhi ruthta, kabhi manaata, aisa ajab nirala mitra. ishwar - TopicsExpress



          

Kabhi ruthta, kabhi manaata, aisa ajab nirala mitra. ishwar ki anmol bhent hai, himmat, saahas waala mitra. Vipdaaon se sada bachata, kaam samay par aata mitra. ek baar jeevan mein aakar, door kabhi na jaata mitra. Oonch neech ya dhan daulat ka, bhed kabhi na karta mitra. raaja ho ya rank sabhi ka, jeevan sukh se bharta mitra. Jab aapas mein jhagada hota, pal bhar ko kho jaata mitra. lekin fir sab bisra kar, aakar gale lagaata mitra. Bachchon! sachcha mitra hamesha, kewal wahi mitra kahalata. mitra dharm ki raksha ke hit, jo apna sarwaswa lutata.
Posted on: Sat, 19 Oct 2013 08:19:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015