Kacchi pakki ummeedon mein Halki gehri si neendon - TopicsExpress



          

Kacchi pakki ummeedon mein Halki gehri si neendon mein Khwaabon mein aur khayaalon mein Sapnon mein aur sawaalon mein Lamhe ye guzar jaane hain Kisiko na nazar aane hain Jee lo jaise ye aate hain Varna to ye badh jaate hain Waqt to behta pani hai... Aise dekhte dekhte hi Zindagi ye kat jaani hai... Chhoti chhoti si baaton mein Lambi lambi si raaton mein Yaadein yaad aa jaati hain Kitna dekho hasaati hain Kitna dekho rulaati hain Aur sab kuchh bhulaati hain Ye aaj ki kal ki baatein bhi Yaadein hi to ban jaati hain Parson ye hi yaad aani hai... In yaadon ko hi banaane mein Zindagi ye kat jaani hain... Ishq ke in iraadon mein Kasmon mein aur waadon mein Deewaangi mein khumaari mein Baatein meri tumhari mein Hassne mein aur rone mein Paane mein aur khone mein Ye sab hisaab lagaane mein Vasoolney mein chukaane mein Saari duniya lag jaani hai... Iss len den ke chakkar mein Zindagi ye kat jaani hai... To duniya se dhyaan hata le tu Aur zindagi ko apna le tu Zamaane ke chakkar mein padna na Aur zindagi se jhagadna na Duniya to baatein banayegi Jeena zindagi hi sikhaayegi Log to chhod jaate hain Tujhe zindagi hi apnaayegi Zinda hai to phir jee le tu Har ik qatra pee le tu Sacchai ye hi puraani hai... Phir dekh kitne sukoon se Zindagi ye kat jaani hai... Dost dheron bana le tu Dil kisi se laga le tu Hass le ro le aur gaa le tu Chaar din ki jawaani hai... Zindagi ye kat jaani hai... Kaam aati nadaani hai... Zindagi ye kat jaani hai... Teri yaadein hi rah jaani hain Teri baatein hi rah jaani hain Zindagi ye kat jaani hai... Zindagi ye kat jaani hai...
Posted on: Wed, 23 Apr 2014 04:22:21 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015