Kal RTE Forum ki workshop thi Jisme Kai NGO, Sangathan tatha - TopicsExpress



          

Kal RTE Forum ki workshop thi Jisme Kai NGO, Sangathan tatha samudaye ke logo ne bhagidari li. Lekink sochne vali bat yaha he ki is workshop me Viklangta ke muddo ko uthane ya unki baato ko rakhne ke liye or sanstha ne bhagi dari nahi ki. Us mohal ko dekhkar lag raha tha ki Viklangta to ab rahi nahi normal bachcho ki bat ya unke issue par bat ho rahi thi. Lekin ek viklang bachche ko school me kya kya paresani hoti hai unki bato ko lane vala or koi nahi tha. Main Aaj bahut khush hun ki main VIKLANG EK MACNH ka Member Or ARTH AASTHA se Judha hun jo, Viklangta ke Muddo par Bat Karta Hai. Viklang Bachche ko na jane kitni samasya ka samna karna padhta hai. Kai bar unko mansik tor par samasyao ka samna karna padhta hai. Kai bar kuch log, teacher bachche or samudaye ke log unpar mansik roup se dukh dete hai. Ek viklang bachche ko ghar se bahar nikal ne par ko mukilo ka samna karna padhta hai. Sayad kuch logo ko ye aesas bhi nhi, School pahochne par phir muskilo ka samna karna padhta hai. Jadaa tar mansik ruop se thesh pahuchti hai. Hame Bahut Aachcha laga jab viklangta ki samasya par ASHOK AGARWAL Ji ne viklang bachcho ki samasya par bat ki. Or unhone kaha ki Agar or log Viklang bachcho ki bato ko lekar aage nahi ayenge to unki bate , unke mudde phir kahi na kahi dab kar rahe jaiyenge. So support to Viklang Ekta Manch. Thank You . P.K Pal Viklang Ekta Manch
Posted on: Tue, 12 Nov 2013 07:36:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015