Karbala mein Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan - TopicsExpress



          

Karbala mein Hazrat Abbas (A. S.) ki shuja’at ka bayaan hai: naara tha ke haan aey sipah’e Sha’m, khabardaar Abbas e dilaawar hai mera naam, khabardaar hai qahr’e ilaahi meri samsaam, khabardaar naizah hai mera maut ka paighaam, khabardaar maiN lakhT e jigar saaheb’e shamsheer’e do-sar hooN hoshyaar ke maiN sheir e ilaahi ka pisar hooN farma ke yeh li teigh, bahaadur ne miyaaN se ghoaRe ko jo cheiRa, na ruka laakh jawaan se hAr waar meiN sAr girn’e lagey barg e khizaaN se chaln’e mein ziyaada thi rawaaN, aab’e rawaaN se jis par paRi, naazil hua qahr uss pa raza ka thi teigh ki zarbat ke tamaaNcha tha qaza ka hangaam e wegha bAnd thi rah amn o amaaN ki jaaN choaRti thi na woh kisi, peer o jawaan ki humdum thi yadullah ki teigh e do zabaaN ki thi qatey umid uss se hAr ek dushman e jaan ki hAr fArd ko iss teigh ka jauhar nazar aaya saaya bhi paRa jis pa woh be-sAr nazar aaya Aakhir meiN Josh* Malihabaadi ki eik rubaai mulaheza ho: seeney pa mere naqsh e qadam kiska hai rindi meiN yeh ijlaal o hasham kiska hai zahid, mere iss haath ke saaghar ko na deikh yeh deikh ke iss sAr pa alam kiska hai
Posted on: Sat, 29 Jun 2013 19:10:30 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015