Khawab toot jate hain Bhir main zamane ki hath choot jate hain - TopicsExpress



          

Khawab toot jate hain Bhir main zamane ki hath choot jate hain Dost daar lahjon main silwatain si perti hain Ik zara si ranjish se Shak ki zard tahni per phool badgumani ke Ic terhan se khilte hain zindagi se pyare bi ajnabi se lagtye hain ghair ban ke milte hain Umer bher ki chahat ko asara nahi milta Dasht-e-be yaqeeni may rasta nhi milta Khamoshi k wakfoon main Baat toot jati hai aur sira nahi milta Mazret k lafzoon ko roshani nahi milti Lazat_o_pazirai phir khabi nahi milti Phool rang wadoon ke khawab toot jate hain be_rukhi k gare se be_dili ki mitti se Fasle ki eentoon se eent jurne lagti hai Khaak urne lagti hai Khwab toot jate hain Ik zara si ranjish se sath jooth jate hain "Bhir may zamane ki hath chhot jate hain
Posted on: Fri, 04 Oct 2013 04:25:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015