Kia aap ko maloom hai k insha ALLAH ya inshaALLAH kahna ghalat - TopicsExpress



          

Kia aap ko maloom hai k insha ALLAH ya inshaALLAH kahna ghalat hai ?? Laikin kiyun ghalt hai ? kaisay ghalt hai aayey main batata hoon ! darasal insha ALLAH 2 alfaz hain insha aur ALLAH arabic zaban main insha ka matlub hai BANANA / TAKHLEEQ karna aur ALLAH ka meaning hai ALLAH to agar hum insha ALLAH ya inshaALLAH kahtay hain to hum ye kahtay hain k ALLAH ko banaya ya banaya ALLAH. jo k totally wrong hai / ajeeb hai . to ayey jantay hain k isko sahi tarha se kaisay ada kia ja sakta hai ?? darasal insha ALLAH k 2 nhn 3 words hain in sha ALLAH IN ka matlub hai AGAR SHA ka matlub hai CHAHNA / MARZI ALLAH = ALLAH lehaza mukammal meaning hui in sha ALLAH AGAR ALLAH CHAHAY AAP ne dekha kitna bara farq hai ?? lihaaza ainda se insha ALLAH / inshaaALLAH / inshaALLAH / insh ALLAH nhn kahna hai na likhna hai , isay 3 words main likhna aur ada kurna hai in sha ALLAH kiyunkay 2 alfaaz main ada kurnay se is ki meaning hi tabdeel ho k kuch ki kuch ho jati hai ! aaj ap ko aik nehaayat zaroori aur achi baat ka ILM hua , apnay tamam dosto / contacts ko bhi ye email forward kur k unki islah farmain takay danista ya na danista tor pay koi ghalti na honay payey . fwd it jazak ALLAH
Posted on: Fri, 31 Jan 2014 02:33:50 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015