Koi ro k dil behlata hai, koi has kar dard chupata hai, kya - TopicsExpress



          

Koi ro k dil behlata hai, koi has kar dard chupata hai, kya karamat hai kudrat ka, zinda insaan paani me dub jaata hai, aur murda tair k dikhata hai. .. Har baat ka koi jawab nhi hota, har ishq ka naam kharab nhi hota, yuh to jhoom lete hai nashe me pine wale, magar har nashe ka naam sharab nhi hota. .. Khamosh Chehre par hazaro pehre hote hai, hasti aankhon me bhi zakham gehre hote hai, jinse aksar ruth jaate hai hum, asal me unse hi rishte gehre hote hai. .. Kisi ne khuda se dua mangi, dua me unse khud ki hi maut maangi, khuda ne kaha maut to tujhe de dunga magar, usse kya kahu jisne teri zindagi ki dua maangi. .. Har insaan ka dil bura nhi hota, har ek insaan bura nhi hota, bujh jaate hai diye kabhi tail ki kami se, har baar kasoor hawa ka nhi hota.
Posted on: Tue, 08 Oct 2013 08:14:17 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015