Kuch Aisi Rasam’en Bhi Musalman Me Raaij Hai Ke Bewah Aurat Ka - TopicsExpress



          

Kuch Aisi Rasam’en Bhi Musalman Me Raaij Hai Ke Bewah Aurat Ka Nikah Ko Bura Aur Aar Samjhte Hai, Balke Is Ko Aib Samajhne Me Kufr Ka Khauf Hai Kyunke Shariyat Ke Kisi Hukm Ko Aib Samajhna Aur Iss Ke Karne Wale Ko Zaleel Jan’na Kufr Hai. Allah Tala Ne Quraan-e-Kareem Me Irshaad Farmaya Hai : ♥ Al-Quraan : Aur Nikaah Kardo Apnao Me Inn Ka Jo Be Nikah Hon Aur Apne Layaq Ghulamao Aur Kaneezao Ka. -: (Sureh Al’noor) » Hadees : Huzoor Akram (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke, “Yaani Meri Ummat Me Fasaad Phail Jane Ke Waqt Jo Shaks Musibat Ke Waqt Meri Sunnat Per Amal Kare Iss Ko 100 Shaheed’dao Ka Sawab Milega”. -: (Mishkaat Jild 1, Safa 30 Asah’al’matabeh, Jannati Zewar 304, 305) - �
Posted on: Wed, 19 Jun 2013 09:19:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015