== Kya Dua Mai Nabi Ya Wali Ka Waasta Ya Waseelah Diya Jaa - TopicsExpress



          

== Kya Dua Mai Nabi Ya Wali Ka Waasta Ya Waseelah Diya Jaa SaktaHai.? == Dua Mai Muhammad (صلى الله عليه وسلم) Ya Kisi Wali, Peer, Auliya Ka Waseelah Baaz Aoqaat Insaan Ko Shirk aur Kufr Tak Pauncha Deta Hai. Jabke Yaqeen Rakha Jayega Ke Allaah(swt) Apne Kisi Mehboob Ke Waaste Ka MohtazHai, Jaise Ke Badasha Ya Afsaraan Mohtaz Hote Hai Apne Wazeer Ya Sectary Ke, Aisa Kahene Se Khaliq Ki Makloo...q Se Mushabihat Lazim Aati Hai, Kyu Ke Kisi Ko Waasta Ya Waseelah Iska Deya Jaata Hai Jisse Wo Darrta Ho, Ya Iski Muhabbat MaiMajboor Hojaye, Yani Iske Naam Se Woh Laachar Hojaye Aur Inkaar Karna Mushkil Hoo, Allaah(swt) Inn Sub Naqahaes Se Paak Hai. Quran Mai Ambiya(A.S) Aur Auliya Allaah Ki Bhout Si Dua’e Mazkoor Hai, Namaz Ke Andaar Har Musalmaan Bhout Si Dua’e Karta Hai, Rasool Allaah(saws) Din Mai Muktalif Aoqaat Mai Sahaba(r.a) Ko Bhout Si Dua’e Sikha’e Kisi Dua Mai Ye Majood Nahi Ke, "Aye Allaah Mere Musibat Ko Bahaqqe Fula, Batufaile Fula, Basadqhe Fula, Bawaseelah Fula Door Farma, Allaah Ki Adalat Mai Kisi Wakeel Ki Jarurat Nahi". Allaah(swt) Farmatey Hai: "Aur Tumhare Rabb Ne Kaha Hai: Tum Mujhe Pukaro Mai Tumhari Dua’e Khubool Karuga, Bilshiba Jo Loog Mere Ibadat Se Sarkashi Karte Hai, Wo Ankhareeb Jaleel o Khaar Hokar Jahannam Mai Dakhil Honge". (Quran, Al- Ghafir: 60) Jo Loog Dua Mai Nabi, Auliya, Peer Ka Waseelah Dete Hai, Wo Kahte Hai Jistarah, Badashah Se Milne Ke Liye Wazeer Ke Sifarish Ki Zarurat Hoti Hai. Minster Se Milne Ke Liye Sectary ki Zarurat Hoti Hai, Kothe Par Charna Hoto Ceede Ki Zarurat Hoti Hai Isstarah Allaah Tak PaunchNe Ke Liye Nabi(saws) Aur Auliya Ki Zarurat Hoti Hai. Allaah(swt) Quran Mai Farmatey Hai: Iss (Allaah) Jaise Koi Cheez Nahi, Aur Wo Khoob Sunne Wala Aur Dekhne Wala Hai.(Ash-Shuraa:11) Ab Jo loog Allaah(swt) Ko Badashao, Minsiter, Kothe Se Mushabiyat Karta Wo Allaah Ki Misaal Inn Se Kar Raha Hai. Allaah Badashao Jaisa Nahi Kyu Badasha Saltanat Ka Mukamlim Intezaam Khud Karne Se Fitrati Aaziz Hota Hai, Isse Aise Himayato Ki Zarurat Hoti Jo Naa Sirf Amwaar Saltanat Mai Iski Maadat Karte Hai Balke Dar Haqiqat Ye Loog Badsha Ki HukmatMai Shareek Hote Hai Aur Isliye: • Kabhi Badasha Sifarish Kubool Karne Par Majboor Hota Hai. • Kabhi Badasha Sifarish Kubool Karne Wale Se Koi Garz Hoti Hai. • Kabhi Isse Sifarish Karne Wale Ki Sarkashi Ka Khauf Hota Hai. • Kabhi Kabhi Sifarish Karne Walr Ki Kisi Ahsaan Ka Badla Maqsood Hota Hai • Aur Kabhi Wo Difarish Karne WaleKi Muhabbat Mai Majboor Hokar Kahnoon Tabdeel Karke Iski Sifarish Kubool Karta Hai. Jab ke Allaah Ke Mutaliq Aisa Soonchna Kufr o Shirk Hai, Allaah(swt) Farmatey Hai: "Aye Loogo Jo Emaan Laye Ho, Humne Tumhe Jo Kuch Diya Iss Mai Se Kharach Karo, Isse Phele Ke Wo Din Jismai Naa Khareed o Faroqth Hogi Aur Naa Koi Dosti Ya Sifarish Hee Kaam Aayegi Aur Kufr Karne Wale Hee Zalim Hai".( Quran, Al-Baqrah:254) Dua Ibadat Hai: Noman Bin Bashir(r.a) Se Riwayat Hai Rasool Allaah(saws) Ne Farmaya: “ Beshak Dua Ibadat Hai” Phir Aap (saws) Ne ye Ayat Padhi “Aur Tumhare Rabb Ne Kaha Hai: Tum Mujhe Pukaro Mai Tumhari Dua’e Khubool Karuga, Bilshiba Jo Loog Mere Ibadat Se Sarkashi KarteHai, Wo Ankhareeb Jaleel o Khaar Hokar Jahannam Mai Dakhil Honge.( Al- Ghafir: 60) [Abu Dawud: 1479, Tirmizi: 2969] Aur Jo loog Allaah Ke Saat Nabi, Wali, Auliya, Ya Kisi Buzrug Ka Waseelah Lagate Hai Darasal Wo Allaah Ki Ibaadat Mai Shareek KarteHai. Rasool Allaah (saws) Ne farmaya"Jo Shakhs Iss Haal Mai Marey Ke Wo Dua Mai Allaah Ke Saat Kisi Aur Ko Shareek Karta Tha Wo Jahannam Mai Dakhil Hoga.(Sahih Bukhari). Aur Allaah ne Farmaya: "Jin Hastiyon Ko Ye Loog Pukarte Hai Aur Allaah Ka Takharrub Ke LiyeWaseelah Samajhte Hai, Wo Khud Khurb Ki Talash mai Hai Aur Wo Uski Rahmat Ke Umeedwar Rahte Hai Aur (wo neyk bande) Uss Ke Azaab Se Darte Rehte Hai Beshak Aap Ke Rabb Ka Azaab Darne Hee Ke Layakh Hai"( Quran, Al-Isra:57) "Aur Wo Allaah Ke Siwa Aise Cheezo Ki Ibadat Karte Hai Jo Inhe Na Nafah Nauksaan Dete Hai Aur Naa Nafah Dete Hai, Aur Wo Kahte Hai: Ye Allaah Ke Haa Hamari Sifarashi Hai. Kahe Dijeye: Kya Tum Allaah Ko Iss Cheez Ki Khabar Dete Ho Jise Wo Aasaman Mai Nahi Jaanta Aur Naa Zameen Mai Wo Paak Aur Buland Hai Innse Jo Jinko Wo Shareek Thairate Hai. (Quran, Younus: 18) "Aur Jin Loogo Ne Iske Siwa Aulia Bana Rakhe Hai, Woh Kahte Hai Hum Inki Ibadat Sirf Isliye Karte HaiKe Woh Hame Allaah Ke Zyada Khareeb Kardenge, Yaqeenan Allaah Inke Darmiyan In Batoo Ka Faisala Farmayega Jin Woh EktelaafKarte Hai, Beshak Allaah Isse Hidayat Nahi Deta Jo Jhoota Aur Nashukra Hoo". {Quran, Zumar:3} Aaj Jo Loog Allaah Ke Saat Dua Mai Auro Ka Waseelah Dete Hai Wo Bhi Yehi Kahte Hai Hum Innhe Sirf Waseelah Bana Rahe Allaah Se Khareeb Hone Ka, Yehi Fail Ko Allaah Ne Shirk Kaha. Aur Mushrikane Makkah Bhi Yehi Karte Teh Aur Unhone Mushrik Kaha Gaya. Aur Allaah Ne Farmaya: " Kehe Dijeye: Mai Apni Jaan Ke Liye Naad Aur Nukshan Ka Ekthiyar Nahi Rakhta, Magar Jo Allaah Chahe, Aur Agar Mai Gayab Jaanta Hota Toh Bhout Se Bhalaiya Hasil Karleta Aur Mujhe Koi Takleef Na Paunchti Mai Toh Darane Wala Aur Khush Khabri Sunane Wala Hoon Unn Loogo Ke Liye Jo Emaan Latey Hai. (Quran, Araaf: 188) Maloom Huwa Ke Dua Mai Kisi Nabi,Auliya, Wali, Neek Bugrug Ka Waseelah Dena Shirk e Akbar Hai. Allaah Yaha Kisi Sifarish Ki Zarurat Nahi Hai. Isliye Khalis Allaah Hee Pukarna Chahiye Aur Sirf Isese Dua Karni Chahiye. Aur Kisi Aur Ka Waseelah Ya Usse Pukarna Allaah Ki Ibadat Mai Kisi Aur Ko Shareek Karna Hai, Jisse Insaan Dairey IslamSe Kharij Hojata Hai Aur Uska Thikhana Jahannam HaiAllaah HumSub Ko Mehfoos Rakhe, Aur Tawheed Ko Samajne Ispar Amal Karne Ki Taufiq De. Aameen Ya Rabbal Aalameen...!
Posted on: Wed, 17 Jul 2013 11:56:43 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015