🇧L 🅰🇨🇰 🇵L 🇺Ⓜ - TopicsExpress



          

🇧L 🅰🇨🇰 🇵L 🇺Ⓜ 🇯🅰Ⓜ🇺🇳 ▶BENEFITS➡➡⏬ 🌑 URDU AND ENGLISH 🌑 Jambul or Jamun is a purple coloured summer fruit. Latin name Syzygium cumini. It is also called Jamun in India and Pakistan. It is known by several local names such as jambas, jamun, neredu, naval, nerale, jamali, java plum, jambolan, rajaman, kala jamun, black plum and black berry. It is a large evergreen Asian tree of the myrtle family. Fruits are eaten raw and may be used to make tarts, sauces and jam. It is beneficial for health. There is vitamin A, B, C, calcium, protein found in Jamun. Jamun ke Fayde Aam ka mosam shuru hote hi amooman jamun bhi bazaar mein farokht hone lgta hai. Jamun ka nabatati naam Syzygium cumini hai jab keh English mein ise Jambolan kehte hain. Yeh phal Barr e Saghir kay mulkon mein aam paya jata hai. Jamun kay be shumar tibbi fawaid bataye jate hain. Marz ziabatish jis mein lablabe kay bigharne se khoon mein shakkar ki moqdar ziadah ho jati hai aur pishab mein bhi kharij hone lgti hai, jamun ise control karne mein intehayi mufeed hai. Is mein shamil glucoside, nishaste ko glucose mein tabdeel hone se rokta hai lekin is marz ki mar wajah adoyaat ki bajaye sirf jamun kay istemaal par inhesar kisi tor munasib nahi. Sugar kay marz mein jamun ka sirkah bhi mowassar hai. Basharte keh is mein synthetic ijza na milaye gaye hon. Elawa azeen ishal gastro aur pait kay degar amraz kay liye bhi jamun ka sirkah faidah mand hai. Lu lagne ki surat mein jamun khane se lu kay asrat ka khatmah ho jata hai. Jamun kay istemaal se khoon ka garha pan aur tezabyat khatam ho jati hai. Phore phunsiyon se mehfooz rehne kay liye jamun nehayat mufeed hai. Chehre kay dagh dhabbe jhaiyan, jamun ya jamun kay sharbat kay mosalsal istemaal se door ho jate hain aur chehre ki rungat nikhar aati hai. Is maqsad kay liye jamun ki ghuthliyon ko pani mein ragar kar is ka paste chehre par lep kia ja skta hai. Jamun jigar aur tilli kay warm mein achche asrat ka hamil hai. Jamun kay chemical research kay mutabiq is kay gude mein 83.7 % pani, 14% carbohydrate, 0.7% protein, 0.3 % charbi hoti hai. Is kay elawa is mein vitamin A , B, C milk acid, tenin kay sath aik khushbi dar tail bhi shamil hota hai. Bijon mein calcium, protein, calc acid aur jambolan nami aik glucoside hota hai jab keh chal aur patton(leaves) mein bhi calc acid ba’kasrat hota hia. Jamun mein folad bhi paya jata hai, is tarah yeh khoon ki kami wale afrad kay liye bhi mufeed hai. Jamun jism ko tqwiyat deta hai. pishab ki jalan mein bhi mufeed hai. Agar munh pak jaye to jamun kay narm patte aik pao , aik kg pani mein josh dein. Baad azan chan kar kulliyan karne se faidah ho jatahai. Jamun mede ki tezabyat ka khatmah karta hai. Is mein mojood tonic acid aur degar mufeed ajza se mede kay zakham aur aankhon ka warm theek ho jata hai. Bhook ki kami ki surat mein jamun ka gooda nikal kar kala namak , zirah syah aur thori shakkar shamil kar kay sharbat bana lein, chand roz istemaal karne se bd hazmi aur bhook ki kami door ho jaye gi. Jamun vitamin C ka qudrati khazanah hai is liye jin logon ko vitamin C ki kami ki wajah se masoron(Gums) se khoon aata hai inhein chahiye keh jamun kay patton ko pani mein josh de kar thora sa namak mila kar ghararah karein munh se agar badboo aati ho to jamun khane se rafa ho jati hai. Jamun girte huye baalon ko rokne kay liye qudrat ka behtareen tohfah hai. Baaz auqaat jalne se jild par sufaid bd numa daagh paida ho jate hain. In daghon par jamun kay patton ka ras lagane se jild ki asal rungat lot aati hai. Diabetes kay marizon kay ilaj kay silsile mein jamun ki aik khas ahmiyat hai. Jamun kay darakht ki chal , beej aur patton se kashid kia gia arq khoon mein shakkar ki mqdar ko taweel arse tk km rakhta hai. Elawah azeen pishab mein shakkar kay akhraaj (Glycosuria) ko bhi ghatata hai. Sabqah jaizon se patah chalta hai keh jamun mein jo hypoglycemic khasoosyaat hain in ki wajah se khoon mein shakkar ki satah 30% ki had tk ghat jati hai. Is kay beej mein alqali made hote hain aur vo bhi khoon mein shakkar ki satah km karne ki kahsoosyat rakhte hain. Unani aur Ayurvedic tarika e ilaj mein ise dast kay elawah hazme ki kharabyon kay liye bhi istemaal kia jata hai. Jamun mein jigar kay amraaz se bachao balkeh sartani khalyaat ki afzaish rokne ki bhi salahiyat dekhi gayi hai. Jis ki mumkina tojeh yeh ki jati hai keh is mein polyphenols samet motaddid phytochemicals paye jati hain . In mein purple mada Anthocyanin bhi shamil hai. Bataya jata hai keh chemotherapy aur degar tabkar ilaj kay doran jamun kay istemaal se mareez ko faidah hota hai. Jamun mein khoon ko fasid madon se paak jaraseem kash khasoosyaat hoti hai is liye danton aur masoron ko mzboot banane wali dawaon mein in ko istemaal kia jata hai. Jamun kay darakht ki chal pait kay kiron ko marne aur pishab kay amraaz kay ilaj mein desi mualjeen istemaal karte hain. Is ki chal ki jaraseem kash khobyon kay pesh nazar masoron se khoon rasne ki bimari (Gingivitis) mein ise pani mein boil kar gharah karne ka mashwarah dia jata hai. Syzygium cumini, jambul, jambolan, jamblang, or jamun, is an evergreen tropical tree in the flowering plant family Myrtaceae. Syzygium cumini is native to Bangladesh, India, Nepal, Pakistan, Sri Lanka, Malaysia, the Philippines, and Indonesia.[citation needed] The name of the fruit is sometimes mistranslated as blackberry, which is a different fruit in an unrelated family. The tree was introduced to Florida, USA in 1911 by the USDA, and is also now commonly grown in Suriname and Trinidad and Tobago. In Brazil, where it was introduced from India during Portuguese colonization, it has dispersed spontaneously in the wild in some places, as its fruits are eagerly sought by various native birds such as thrushes, tanagers and the Great Kiskadee. This species is considered an invasive in Hawaii, USA.[2] It is also illegal to grow, plant or transplant in Sanibel, Florida. Common names Syzygium cumini is also known as jambul/jambhul/jambu/jambula/jamboola, Java plum, jamun, jaam/kalojaam, jamblang, jambolan, black plum, Damson plum, Duhat plum, Jambolan plum or Portuguese plum. Malabar plum may also refer to other species of Syzygium. This fruit is called Jamun in [Konkani], Hindi, Urdu and Punjabi, Naaval Pazham in Tamil, Naaval Pazham in Malayalam, Nerale Hannu in Kannada,Neredu Pandu in Telugu, Kalojam or Jam in Bengali, Jamukoli in Oriya and Jambu in Gujarat. In the Philippines, common names include duhat in the Tagalog-speaking regions, lomboy in the Cebuano-speaking areas, lumboy in Northern Luzon and inobog in Maguindanao.[4] It is called Dhanbu in Maldives and Dhuwet/Juwet in Javanese. Among its names in Portuguese are jamelão, jambo, jambolão, jalão, joão-bolão, manjelão, azeitona-preta, baga-de-freira, brinco-de-viúva and guapê, always with lower case, the early four derived from the Konkani name jambulan.[5] They are called rotra in the Malagasy language (Madagascar).[6] It is called reyang dut or krian dot in Malay especially in the northern part of Malay Peninsula. Description A slow growing species, it can reach heights of up to 30 m and can live more than 100 years. Its dense foliage provides shade and is grown just for its ornamental value. At the base of the tree, the bark is rough and dark grey, becoming lighter grey and smoother higher up. The wood is water resistant. Because of this it is used in railway sleepers and to install motors in wells. It is sometimes used to make cheap furniture and village dwellings though it is relatively hard to work on. The leaves which are an aroma similar to turpentine, are pinkish when young, changing to a leathery, glossy dark green with a yellow midrib as they mature. The leaves are used as food for livestock, as they have good nutritional value. Syzygium cumini trees start flowering from March to April. The flowers of are fragrant and small, about 5 mm in diameter. The fruits develop by May or June and resemble large berries. The fruit is oblong, ovoid, starts green and turns pink to shining crimson black as it matures. A variant of the tree produces white coloured fruit. The fruit has a combination of sweet, mildly sour and astringent flavour and tends to colour the tongue purple. The seed is also used in various alternative healing systems like Ayurveda (to control diabetes, for example.[8][9]), Unani and Chinese medicine for digestive ailments. The pulp of the fruit, extracts from the bark and seeds is of great benefit when it comes to lowering of blood glucose level. Taking dried extract of the seeds orally, greatly reduces the blood sugar and glucosuria.[dubious ] The leaves and bark are used for controlling blood pressure and gingivitis. Wine and vinegar are also made from the fruit. It has a high source in vitamin A and vitamin C. Syzygium cumini has been spread overseas from India by Indian emigrants and at present is common in former tropical British colonies. Nutrients and phytochemicals Syzygium cumini fruits Java-plum, (jambolan), raw Nutritional value per 100 g (3.5 oz) Energy 251 kJ (60 kcal) Carbohydrates 14 g Dietary fiber 0.6 g Fat 0.23 g Protein 0.995 g Vitamins Thiamine (B1) (2%) 0.019 mg Riboflavin (B2) (1%) 0.009 mg Niacin (B3) (2%) 0.245 mg Vitamin B6 (3%) 0.038 mg Vitamin C (14%) 11.85 mg Trace metals Calcium (1%) 11.65 mg Iron (11%) 1.41 mg Magnesium (10%) 35 mg Phosphorus (2%) 15.6 mg Potassium (1%) 55 mg Sodium (2%) 26.2 mg Other constituents Water 84.75 g Link to New Zaheer shaikh(Dr.zaheer Ahmed shifa clinic)
Posted on: Tue, 29 Jul 2014 10:47:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015