MEETING UPDATE (HELD ON 28.09.2013) DOSTO DISTRICT WISE MEETING - TopicsExpress



          

MEETING UPDATE (HELD ON 28.09.2013) DOSTO DISTRICT WISE MEETING KA CHAUTHA (FOURTH) CHARAN (PHASE) SOUTH DISTRICT MEIN SAFALTA KE SATH SAMPANNA HUA. UPASTHIT SABHI LOGO NE MEETING MEIN APNE VICHAR PRAKAT KIYE AUR POORA BHAROSA UNION MEIN DIKHAYA. JO LOAG DISTRICT SE AAYE THE UNHONE BATAYA KI LOAG AA NAHEE PAAYE HAIN PARANTU UNHONE YE SANDESH DIYA HAIN KI HUM POORI TARAH SE UNION KE LIYE GAYE NIRNAY KE SATH HAIN AUR HAMARA POORA SAHYOG UNION KE SATH HAIN. MEETING MEIN SOUTH DISTRICT KI ZONAL COMMITTE BANA DI GAYI AUR UPASTHIT SABHI LOGO KO UNION KE DWARA KIYE JAA RAHE KAMO KI JAANKARI DI GAYI. DOSTO, SAMAY AA GAYA HAIN KI HUM SAB LOAG DHEERE DHEERE UTH KHADE HO. YE SAHEE BAAT HAIN HUM SAB LOAG MUH KE BAL GIRE HAIN LEKIN KAB TAB YE RONA ROYE, KAB TAK ESSI AASH MEIN BAITHE RAHE HAIN KI KOI CHAMATKAR HO JAYEGA, AAYEY SABKO DIKHA DE KI NAHEE HUM KAMZOR NAHEE HAIN, NAHEE HUM KAYAR NAEE HAIN, AUR NA HEE HUM APNE PURVAJO KO BHULE HAIN, YE DHARTI BHAGAT SINGH AUR SUBHASH KI DHARTI HAIN, YE DHARTI MAHARANA PRATAP AUR BISMIL KI DHARTI HAIN. AAYEE KAHE KI NAHEE BOSS BAHUT HO GAYA AUB HUM CHUP NAHEE BAITHENGE AUR APNE HAQ KI ESS LADAI MEIN POORI TARAH SE SATH KHADE HONGE, AAYEY BATA DE KI DELHI SIRF DILWALO KI DELHI NAHEE HAIN YE DUM WALO KI BHI DELHI HAIN. ITIHAS GAWAH HAIN KI MUTTHI BHAR LOGO NE APNE ZAZBE SE APNE SANKALPA SE KAI SALTNAT JEET LEE HAIN AUR YE TO SIRF EK CHOOTI SE LADAI HAIN APNE HAQ KI. AAKHIR MEIN SIRF ITNA HEE KAHNA HAIN KI JO LOAG MEETING MEIN AAYE AUR JINHONE BHI MEETING HONE MEIN SAHYOG KIYA UNHE DIL SE DHANYAWAAD AUR JO NAHEE AAYE UNKE LIYE BUS YAHEE SANDESH KI AGLI MEETING MEIN AAPKO AANA HAIN AUR AGAR KISI KARANWASH AAP NAHEE AA PAATE HAIN TO JAHAN BHI AAP HO WAHIN SE ESS ANDOLAN KO SAFAL BANANE MEIN APNA POORA SAHYOG DIL SE KAREIN. AAP KAHIN BHI HO BUS ESS AANDOLAN KI LAU (AAG) AAPKE SEENE MEIN JALTI RAHNI CHAHIYE. DHANYAWAAD.
Posted on: Sun, 29 Sep 2013 13:39:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015