MUST READ 1 - Deen ke mamlon mein Nabi Sallallahu Alaihi - TopicsExpress



          

MUST READ 1 - Deen ke mamlon mein Nabi Sallallahu Alaihi Wassallam ke Hukm par Amal karna Farz hai , Aye Imaan walo Allah or uske Rasool(Sallallahu Alaihi Wassallam ) ki ittat farmabardaari karo or baat sun lene ke baad usse munh na phero , Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 20 , Aur Namaz padhte raho or zakat dete raho or Rasool (Sallallahu Alaihi Wassallam) ka ittat farmabardari karte raho taake tum par rahem kiya jaye , Surah 24 an-Noor ,Aayat no 56 , Aur jo shakhs Rasool (Sallallahu Alaihi Wassallam ) ki ittat farmabardaari karega to beshak usne Allah ki farmabardaari ki or jo nafarmani kare to aye Rasool (Sallallahu Alaihi Wassallam) Aap ko Allah ne unka nigehbaan bana kar nahi bejha , Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 80 , Aur Allah or uske Rasool (Sallallahu Alaihi wassallam)ki ittat farmabardaari karo taake tum par rahem kiya jaye, Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 132 , Aye Imaan walo Allah or uske Rasool (Sallallahu Alaihi Wassallam ) ki ittat farmabardaari karo or jo tumme se jo sahib e hukoomat hain unki bhi , or agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf waqe ho to agar Allah or roz e aakhirat par imaan rakhte ho to usse Allah or uske Rasool saw ke hukm ki taraf rujoo karo , yeh bohat achchhi baat hai or anjam ke aithbaar se bhi behtar hai , Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 59 , Tumhare Rab ki Qasam yeh log jab tak apne tanazat mein Aap ko Hakim faisla karne wala na maanle , or jo faisla Aap kardo usse apne dil mein tangi na kare balke usko khushi se maan lein tab tak momin nahi honge Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 65 , Aye Imaan walo Allah ka farmabardaari karo or Rasool (Sallallahu Alaihi wassallam)ki ittat karo or ittat karne se hat kar apne amalon ko zaya barbad na hone do , Surah 47 Muhammad ,Aayat no 33 , Jo chiz tumhe Rasool (Sallallahu Alaihi Wassallam ) dein woh le lo or jis chiz se Roke usse rukh jaao , or Allah se darte raho , beshak Allah sakht azaab dene wala hai , Surah 7 al-Hashr ,Aayat no 7 , shahid
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 05:05:45 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015