.........Maa(Mother)...Dunya ki azeem hasti.......... Mujhay raat - TopicsExpress



          

.........Maa(Mother)...Dunya ki azeem hasti.......... Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi, Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal data tha, Kal say jaldi aaon ga kah ker taal data tha, Who mujhay deekh kar muskra dati thi, Aur pyaar say chapat laga dati thi, Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha, Who her baar meray naaz uthati thi, Who meray sadkay wari jati thi, Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata, Din raat us kay pyaar ki barsat hoti, Us ki duyain hameesha meray saath hotin, PER AB, Zindagi main who baat nahi hai, Kyu kah who meray saath nahi hai, Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai, Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai, Ghar jab loton who nigahain dhoondta hon, Sama jaon jin main who bahain dhoondta hon, Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay who mera intzaar karti thi, Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan who mujhay pyaar karti thi, Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon, Her kadam her rastay per thoker khata hon, Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai, Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga, Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi who her kaam karon ga, Meray kaan phir say muntizar hain ek baar phir who lori suna day, Ek arsa hua main soya nahi, Tu apni goud main mujhay sula day, Kaash kabhi aisi duyain na martein, Kaash kisi ki maien na martein........ :(
Posted on: Thu, 12 Sep 2013 06:57:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015