Maut likhi na ho to maut khud zindagi ki hifazat karti hai, jab - TopicsExpress



          

Maut likhi na ho to maut khud zindagi ki hifazat karti hai, jab maut muqaddar ho to zindagi daudti huyee maut se lipat jati hai, Zindagi se zyada koi jee nahi sakta aur maut se pahley koi mar nahi sakta ( Khalid Bin Walid radi allahu anhu) - Suicide karna islam mein allow nahi aur jo aisa karega uskey liye aakhirat mein jahannam hai- Hadith 1: Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shaksh kisi takleef mein Mubtala ho to usey Maut ki tamanna nahi karni chahiye aur agar koi maut ki tamanna karney hi lagey to ye kahey ki Eh Allah jab tak zindagi mere liye behtar hai mujhe Zinda rakh aur jab maut mere liye behtar ho to mujhe utha le. Sahih Bukhari, 5671 Hadith 2:Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya pichley zamaney mein ek shaksh zakhmi ho gaya tha aur us sey usko badi takleef ho rahi thi aakhir usney churi (knife) se apna haat kaat dala aur khoon bahney laga jis ki wajah se wo mar gaya Allah taala ne farmaya mere bandey ne marney mein jaldi ki isliye mainey bhi jannat ko is par haram kar diya. Sahih Bukhari, Vol 4, 3463 Hadith 3:Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega Sahih Bukhari, Vol 7, 6105 Hadith 4: Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jo shaksh khud ko apna gala ghont kar maar deta hai, to wo jahannam mein bhi apna gala ghont-ta rahega aur jo kisi teer ya barchi ( yani dhaardar cheez) se apney aapko maar daaley to wo jahannam mein bhi apney aapko isi tarah maarta rahega. Sahih Bukhari, Vol 2, 1365
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 17:01:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015