Meanings Of Some Tough Urdu Words Using In The Serial, For My - TopicsExpress



          

Meanings Of Some Tough Urdu Words Using In The Serial, For My Non-Urdu Speaking Indian Brothers & Sisters *Beja = BeMuaqa/ BeWaqt/ NaMunasib *BeHis = Laaparwah, Jise Koi Parwah Na Ho/ Ghayrzimmedaar *Betakalluf = Free Hona (eg. If Someones Wife Talks To Other Men Freely, She Might Be Called Betakalluf ) / Bina Takleef Uthaaye *Himayat = Tarafdaari (Ksi Ka Favour Karna) *Dakhal = Interfere/Qabza *Mazeed = Beshi/ Zyadati/ Izaafah *Munafiq = Saamne Dosti Dil Me Dushmani/ Double Faced *Munafiqat = Act Of A Munafiq *Tang Nazar = Chhoti Soch *Fauqiyat = Badhaayi/ Bartari *Mutalba = Daawa/ Darkhwast *Haq Mehar = Wo Rupya Jo Musalmano Ke Nikah Ke Waqt Mard Ke Zimme Aurat Ko Dena Muqarrar Kiya Jata Hai. *Rawaiyya = Behaviour *Azeeyatnaak = Dardnaak/ Takleefde *Nedamat = Sharmindagi/ Afsos *Mafaad Parast = Nafa Parast/ Someone Who Wants Profit @ Any Cost. *Khaayef = Darne Wala/ Khof Khaane Wala *Raabta = Mail-Jol/ Taalluq/ Lagao *Mutmaeen = Satisfied *Ghayr Mutawaqqa = Jiski Ummeed Na Ki Gayi Ho. *Tanqeed = Nukta-Chini / Aisi Jaanch Jo Khare Khote Me Tameez Kare. *Qaasir = Lachaar/ Majboor *Maazi = Past *Sitaare Gardish Me Hona = Bura Waqt/ Bura Daur *Badghumaani = Bina Daleel Aur Sach Jaane Ksi Dusre Ko Bura Jaanne Ka Yaqeen Karna *Tawaqqo = Aas/ Ummeed/ Bharosa *Khudgharz = Sellfish *Zehanat = Zahan Ka Tez/ Intelligent/ Intelligency *Qaabil E Aitraaz = Aitraaz Ke Laayaq *Surat E Haal = Kaifiyat/ Situation *Tarbiyat = Parwarish /Sanskaar
Posted on: Thu, 10 Jul 2014 11:57:57 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015