Mere 3 dost the, sanjay, smita and shikha/ sanjay bahut hi - TopicsExpress



          

Mere 3 dost the, sanjay, smita and shikha/ sanjay bahut hi handsome aur school ki cricket team ka captain tha. Sari ladkiyan us par marti thi. Vah school ka sabse popular boy tha.Smita bhi bahut hi khoobsurat girl thi. Uske jitni sundar ladki school mein koi nahin thi. Aur vah school ke drama mein hamesha heroine ka parthi kiya karti thi. School ka koi ladka ais ana hoga jo use na like karta ho ya use apni girl friend na banana chahta ho. #adie Shikha ek dam simple girl thi. Vo rich family se bhi nahi thi jaise ki sanjay aur smita. Vo dekhane mein koi badsurat nahin thi lekin koi khas bhi nahi thi. Naturally ek hi class mein aur mere sath hi dost hone ke karan smita aur shikha bhi sanjay ke dost ban gaye. Aur smita aur shikha donon hi sanjay ko apna boy friend bana chahte the. Donon ne apni taraf se puri koshish ki ki vo sanjay ko apne pyaar ke bare mein bata dein. Hua vahi, jo expected tha. Sanjay lo smita to apne status ki lagi aur shikha use plain aur apne se kam standard ki lagi. Aakhir vo school ka star boy tha aur uski girl friend ek star girl hi honi chahiye thi. Khair sanjay aur smita ka pair ban gaya aur sanjay hamesha shikha ka majak udata raha ki vo ekdam plain ladki hai aur usmein boys ko attract karne ki koi bat nahin hai. Lekin shikha hamesha uske bag mein roj ek rose ka phool rakhti thi aur ek note ki main hamesha tumhara sath nibhaungi aur kabhi tumhen dukh nahin pahunchaungi that I will love you forever. Vaqt beeta aur smita ne apna asli rang dikhlaya. Jaise hi use sanjay se jyada rich aur handsome ladka mila usne sanjay ko dhokha de diya aur cheat karke dusre boy ke sath rahne lagi. Sanjay ka dil toot gaya. Lekin shikha ke behaviour mein koi antar nahin aaya. Vo ab bhi hamesha sanjay se pahle ki hi tarah bat karti aur uske bag mein ek riose rakhti rahi. Usne sanjay ko kuchh nahin kaha uske aur smita ke break up ke bare mein. Vo har samay sanjay ka haunsla badhati. Shikha vaqt ke sath kuchh kuchh kamjor dikhane lagi thi. Sanjay ne uski aur dhyaan hi nahin diya. Jab kabhi koi aur puchhta to vo tal jati. Dheere dheere sanjay ko shikha ki achchhai ka pata chala to ek din usneclass ke bad shikha ko propose kiya aur kaha ki main aaj samjh paya hoon ki sachcha pyar kya hota hai. Agar tum meri jindgai mein aa jao aur mera pyaar kabool kar lo to ye meri jindgi ki sabse badi khushi hogi. Lekin shikha ne mana kar diya. Usne kaha ki tumhen ek chot lag chuki hai main tumhare dil ko aur dukh nahin dena chahti. Sanjay ki samajh mein kuchh nahin aaya. Par donon ki friendship badhti gai. Aur vo hamesha ek sath hi dikhane lage. Shikha ke encourage karne se sanjay ka confidence fir se badh gaya aur vopahle ki tarah khush rahne laga. Fir achanak shikha ne school aana chhod diya. Kai din tak to sanjay yahi samajhta raha ki shikha apne uncle ke yahan ghumne nainital chali gai hai. Lekin ek din achanak uske pas shikhake ghar se phone aaya ki shikha hospital mein hai aur sanjay se milna chahti hai. Sanjay jab hospital mein pahuncha to pata chala ki shikha ko cancer hai aur vo last stage mein hai. Sanjay ro pada shikha ki ye halat dekh kar. Usne kaha, shikha, I love you, mujhe chhod kar mat jao. Shikha ne kaha “sanjay maine kaha na, main tumhen dusra dukh nahi dena chahti thi. Main bhi tum se bahut pyaar karti hoon. Hamesha karti thi.” Aur ye kah kar shikha ne aankhen band kar li. She was gone. Vo hamesha ke liye door jaa chuki thi. Sanjay ko ab shikha ki bat ka matlab samajh aaya aur us epata chala ki sachche pyaar ka matlab kya hota hai!
Posted on: Wed, 28 Aug 2013 06:02:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015