Meri Dadimaa aaj bhi 15th August aur 26th January ko ghar me puri - TopicsExpress



          

Meri Dadimaa aaj bhi 15th August aur 26th January ko ghar me puri aur kheer banwati hain :) Maa batati hai ki pehle jab humlog chhote the ; tab bhi Dadimaa dono bhaiyo ke liye straw wale flags le aati thi bazar se ... ab mai bada ho chuka hu.. is bar to vote bhi daala tha ; aur whatsap par tiranga bhi lagaya ; par kabhi ye feel nhi hua ki Dadimaa kya sochti hongi hamare desh ke socio-political status pe ? Telaiya me ek Jhanda chowk hai ; Dadimaa ko itna pata hai ki pehli baar jab angrez desh chhor ke gaye the ; to usi jagah jhanda fehraya gaya tha. Kitni ajib baat hai ki meri Dadimaa ne kabhi shayd Non - cooperation movement ya Gandhiyan ideology oar koi kitab na padhi hai.. fir bhi swadhinta ke bare me unki samjh shayd mere se jyada hai. Khair ; isbar fir kheer puri khaunga :) ek bat aur ; bachpan me ekbar jab mai 6th class me tha (mere dost aur teachers jo facebook par hain; wo to jante hi honge ki mai kitni badmashiyaan karta tha) to ekbar mai aur mera bhai.. humlog aise hi anmane dhang se jana..gana..mana..gaane lagey.. tab Maa ne sikhaya ki beta; ye gana sabse respectful hota hai, ise aise nahi gaate. Aaj bhi yad hai wo sab. Free tha to dekha ki whatsap par tiranga laganey ke msgs aa rahe hain..to socha sabko batau ki... the previous generation was much enlightened ..even without knowing those dry facts what we have mugged up for the exams. :) :)
Posted on: Sat, 09 Aug 2014 05:16:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015