Meri yad ayegi tujhe, jab dur chala jaunga, Dur itna ki laut k - TopicsExpress



          

Meri yad ayegi tujhe, jab dur chala jaunga, Dur itna ki laut k kabhi na aunga..... Ab tak tere dil me rehta tha mai, Ab yadoon mai bas jaunga.... Yad ayenge baatein aur mulakate, Magar kbhi tujhse mil na paunga.... Tadpogi tu bhi mere bare mai sochkar, Magar tab bhi mai najar na aunga... Tujhe jaan se bhi jyada chahta hu, Par shyad sabit na kar paunga.... Kehte hai pyar amar hota hai, Par mai to khud ko hi amar kar jaunga.... Mere pyar ko sahara dena, Jab akhri dum tujhe bulaunga...... Aansu mat bahana yad karke mujhe, Warna tujhse ruth jaunga....... Suna hai 7 janam milte hai insan ko, Wada hai baki 6 janam tere hi sath bitaunga.......
Posted on: Sat, 07 Sep 2013 01:46:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015