Miti Ka Tan Huaa Pavitra, Ganga Ke Asnan Se | Ant Karan Ho Jaye - TopicsExpress



          

Miti Ka Tan Huaa Pavitra, Ganga Ke Asnan Se | Ant Karan Ho Jaye Pavitra, Jagadambe Ke Dhyan Se || Sarve Mangal Mangalye, Shive Sarvarth Sadhike | Sharanye Trambake Gauri, Narayani Namo Stute || Shakti Shakti Do Mujhe, Karoon Tumhara Dhyan | Path Nirvignya Ho Tera, Mera Ho Kalyan || Hridya Sinhasan Par Aa, Betho Meri Maa | Suno Vinay Mam Din Ki, Jag Janani Vardan || Sundar Deepak Ghee Bhara, Karoon Aaj Tayaar | Gyan Ujala Maa Karo, Metto Moh Andhkaar || Chandra Surya Ki Roshni, Chamke Chaman Akhand | Sab Mein Vyapak Tej Hai, Jwala Ka Prachand || Jwala Jag Janani Meri, Raksha Karo Humesh | Dur Karo Maa Ambike, Mere Sabhi Kalesh || Shradha Aur Vishwas Se, Teri Jyot Jalaoon | Tera Hi Hai Aashra, Tere Hi Gun Gaoon || Teri Adhabhut Gaat Ko, Padhoon Mein Nischay Dhar | Sakshat Darshan Karoon, Tere Jagat Aadhar || Man Chanchal Se Baat Ke, Samay Jo Aogun Hoye | Dati Apni Daya Se, Dhyan Na Dena Koye || Main Anjan Malin Man, Na Jano Koi Rit | At Pat Vani Ko Hi Maa, Samjho Meri Prit || Chaman Ke Aogun Bahot Hai, Karna Nahi Dhyan | Sinhvahini Maa Ambike, Karo Mera Kalyan || Dhanya Dhanya Maa Ambike, Shakti Shiva Vishal | Angh Angh Mein Rum Rahi, Dati Din Dayal ||
Posted on: Wed, 09 Oct 2013 04:56:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015