Mughal1 Islam deen hai mazhab nahin hai. Deen raaste ko kehte hen - TopicsExpress



          

Mughal1 Islam deen hai mazhab nahin hai. Deen raaste ko kehte hen aur mazhab bhi raaste ko hi kehte hen. in main farq yeh hota hai keh deen kharij main haqeeqi raaste ko kehte hen aur mazhab daakhil main mehz aik zheni tassawur ko kehte hen. Doosre lafzun main deen woh raasta hota hai jis par chale baghair jeena mumkin nahin hota aur mazhab woh raasta hota hai jis par chalna jeene ke liye laazmi nahin hota. deen haqaaiq se taaluq rakhta hai aur mazhab khayalaat se. deeen woh tarze zindagi hota hai jis par chalne se amaal ke nataaij khud bakhud saamne aa jaate hen aur mazhab woh khayalaat hote hen jin par amal karne se zahir main kuchh bhi nataaij saamne nahin aate. Yahee waja hai islam deen hai mazhab nahin. quran main islam ko deen kaha gayaa hai mazhab nahin. is ki waja yeh hai islam insaanu ko aik tarze zindagi ki taraf bulaata hai jis tarze zindagi se aik pur anamo skoon maashra wajood main aata hai. is main khud insaanu ka apna faaida hai. isi tarah quran islam se hat kar har doosri rah ko bi deen hi kehta hai albata saath hi yeh bhi kehta hai islam ke ilaawa koi aur tarze zindagi amno salaamti ki taraf nahin jaata balkeh har deen islam ke ilaawa nuqsaan aur tabahi ki taraf jaata hai. insaan bunyaadi tor par aik maadi shai hai aur is ka amno skoon bhi bunyaadi tor par maadi ashyaa main hi rakha gayaa hai. misaal ke tor par aap sochen to sahi keh agar aap hawa main saans na le saken to aap ko kitni takleef ho gi. agar aap ko pyaas lagi ho aur aap paani na pee saken to aap ko kitni takleef ho gi. agar aap ko bhook lagi ho aur khaana na mil sake to kia haal ho ga. is baat ko tasleem kiye baghair chaara hi nahin keh insaan ki insaan hone ke naate kuchh bunyaadi aur kuchh zaid zarorten hen aur un zaroortun ko poora kiye baghair ya to insaan ke wajood ko barqraar rakhna mumkin hi nahin ya phir insaan ki zindagi aisi khushgwaar nahin ho sakti jitni ke un zaroortun ke poora hone se ho sakti hai. insaan kyun ke itni tadaad main hen aur agar yeh apni apni zaroorten bila kisi zaabte aur qanoon ya tareeqe ke poori karen ge to dunia main bhagdar mach jaye gi. isi baat ko saamne rakhte huwe Allah ne insaan ko sirf peda hi nahin kiya balkeh us ko dimaagh diya aur hawaas diye aur badan diya aur aik waseeh duniya di jis main apni taraf se rehne sehne ke quaido zwaabit bhi diye. yun to khudaa ne bahot se phaigambar aur kitaaben bhejin magar hamaara dor quran ka dor hai jo khudaa ki aakhri kitaab hai aur jo ham ko aakhri paighambar ke zariye de di gayee hai. ab yeh logoon par chhor diya gayaa hai keh woh is khudayee paighaam ko samjhen aur us ke mutaabiq apni duniya ko sanwaaren ya apni apni zindagiyan barbaad kar len is ki taleemaat ko nazar andaaz kar ke. yahee waja hai islam main quran aik bunyaadi hesiyat rakhta hai khudaa ki kitaab hone ke naate. --- Double Post Merged, Dec 2, 2012 --- Khudaa kyunkeh is tamaam aalam ka faatir hai yani is ko adam se wajood main laaya phir is ko apne plan ke mutaabiq us ne drust kiya yani is ki takhleeq ki. kyunkeh us ne cheezun ko peda kiya aur un ke tamaam lawazmaate zindagi ka bandobast kiya isi liye yeh haq bhi usi ka hai keh wohi is ko chalaane ka saara program de har shai ke liye. agar ham duniya par nazar dorayen to pata chalta hai sab mukhlooq khudaa ke takhleeqi qwaneen ke mutaabiq apna apna kaam kar rahee hai khudayee maqaasid ko poora karne ke liye. qanoone qudrat go har shai ke liye kaam kar raha hai magar aik mukhlooq aisi bhi hai jo mukamal tor par is qanoon ke tehet takhleeq hi nahin ki gayee aur woh hai insaan. is ko khudaa ne quwate iraadi se nawaaza hai aur isi liye khudaa ne is ke liye aik aur qanoon ka bandobast kia jis ko ham wahee ka naam dete hen. insaan ko aik had tak khudmukhtaar banaa kar khudaa ne is ko kuchh hadayaat di hen ta keh is ko duniya to jannat banaane main madad mil sake. yahee waja hai agar log khudaa ki kitaab ko drust tareeqe se samjhen ge nahin yaa us ko aik taraf rakh den ge yaa us ke istemal drust tareeqe se nahin karen ge to khudaa ki yeh duniya insaanu ke liye khabi bhi kahanum se kam nahin ho gi. isi liye intahayee zaroori hai log quran ko woh ehmiyat den jo is ko deni chahiye aur is ko usi tareeqe se samjhe jis maqsad ko poora karne ke liye yeh di gayee hai warna duniya main kabhi bhi amno skoon mumkin hi nahin ho ga.
Posted on: Sun, 25 Aug 2013 23:01:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015