" Mujhko ab bhi yaad hain wo saari ammi ki baatein Daantna mujhko - TopicsExpress



          

" Mujhko ab bhi yaad hain wo saari ammi ki baatein Daantna mujhko baat baat par , pyaar ki wo barsaatein Khailna merey saath saath aur phir padney ko kahna Meri khushiyon ki khaatir abbu se ladtey rahna Meri gustaakhi pe unka zor se wo jhallaana Abbu ke aaney par unko kuchh bhi na batlana Thaam ke ungli meri mujhko bahar lekar jaana Seedha rasta kya hota hai ye mujhko samjhana Pyaar se mujhko paas bithaa kar sar pe tail lagaana Phir kahna ki beta dekho kaam sabhi ke aana Dekho beta geebat gussa achchi baat nahin hai Ye sab kaam galat hain betey aur ye kaam sahi hai In kaamon ko karke tum achchey insaan banogey Is rastey par mat chalna warna beimaan banogey Paisey ka izzat ke aagey koi mol nahi hai Bhool na jaana ye baatein jo mainey aaj kahi hai Mujhko ab bhi yaad hai wo saari ammi ki baatein
Posted on: Mon, 30 Sep 2013 07:39:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015