NEEM HAKIM KHATREH JAAN: Gyan ki prapti K.G mein admission lene - TopicsExpress



          

NEEM HAKIM KHATREH JAAN: Gyan ki prapti K.G mein admission lene jaisi hai jahan se hamari jeevan mein ek naya mod aata hai.naya mahol,naye dost nayee rah nayee manzil ek Gursikh ban-ne ka pehla kadam. Lekin Kuchh log isse manzil maan lete hain aur na aav dekha na taav bas apni vicharon ko Guru ka naam dekar aisi galat fahmi paida kar dete hain ki arth ka anarth ho jaata hai aur jis baat se Guru ke prati shradha aur wishvas jagrut hona chahiye uski bajay man mein kae shanka en janam leti hain. isliye kahte hain pakiyaan naal baitho kachiyan nu sang na karo. Yeh zaroori hai ki hum Satguru ki baat ko samajh payen yeh ardas karen phir uspar amal karna woh bhi nimana hokar mann mein aadar ke saath saath bhay bhi laazmi hai kyunki"main doosron se nafrat karunga to mera murshid mujhse pyar kyun karega aur kahin uske dil mein narazgi aa gayee to teen lok mein mujhe maaf kaun karega? Ab Gursikh ka har kadam Guru ko samarpit hai aur uski sachetna usko galat nahi karne degi uske liye seva sad bhagya ki nishani satsang Rab ki rehmat aur simran Guru mahima se anand vibhor hone ka sroat hai aise Gurskh ko anand dhundhna nahi padta kyunki pyar aur anand ka jharna uske dil se bah kar usko aur uske sampark mein aane wale har insaan ko Guru ke rang mein rang raha hai
Posted on: Mon, 07 Oct 2013 05:38:08 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015