PART 409: Armaans voice had cracked with the strain of shouting. - TopicsExpress



          

PART 409: Armaans voice had cracked with the strain of shouting. Ridhimaa kept her hand on Armaans chest to relax him. Armaan held her hand tightly. Shashank: (softly) Hume pata hai Armaan... Armaan: (continuing in a heavy tone) Unhone bhi mujhe jaan se maarne ki koshish ki thi... mere apne Abi Jaaan ne... unhi Salmaan Mallik ne... main us Salmaan Mallik ka beta hoon... There was immense pain hidden in his voice. Shashank: (placing a comforting hand on his forehead) Armaan... Ridhimaa removed her hand from Armaans forehead. Armaan: Us Salmaan Mallik ka beta Daddy... jisne aap sabko mujhse door kar diya... He looked at Ridhimaa. Shashank kept mum. Armaan: Us Salmaan Mallik ka beta jisne meri zindagi ki sabse badi khushi mujhse chheen li... meri Ridhimaa ko mujhse alag kar diya... mujhse sabki muhabbat ganwaane ko majboor kar diya... us Salmaan Mallik ka beta... There was a silence after this in which only Ridhimaas sobs could be heard. Armaan: (now looking in Shashanks direction) Aapko lagta hai ki main Ridhimaa ke saath kuch galat kar sakta hoon? Shashank: Bilkul nahi... Armaan: Ya fir main Tamanna ke saath? Shashank: Kabhi nahi... lekin isme Tamanna ki baat kahaan se... Armaan: Ridhimaa Maan ki behen hai... Shashank opened his mouth to speak. Armaan: (before Shashank could protest) Theek usi tarah... jis tarah Tamanna meri. Shashank closed his mouth on hearing Tamannas name. Armaan: Maan Ridhimaa se bahut pyar karte hain... usey kabhi koi takleef nahi denge... Shashank: Lekin agar kabhi isne Ridhimaa ko... tum sach me Ridhimaa ko iske saath jaaney doge? Agar kabhi Prakash... Armaan: Kisiko bhi Ridhimaa ko koi bhi takleef dene se pehle mera saamna karna hoga... Shashank: Tum Ridhimaa ke liye kab tak takleef uthaoge? Armaan: Apne marrte dum tak... mere jeeteji Ridhimaa ko kabhi koi... Ridhimaas sniffed softly so that she couldnt be heard. Shashank: (cutting across armaan) Armaan! Tumhe kya lagta hai? Mujhe sirf Ridhimaa ki fikr hai? Tumhari fikr nahi hai? Mujhe pata hai ki tumhare rehte hue Ridhimaa ko kabhi kuch nahi hoga... lekin tum? Tum mere bete ho Armaan... mujhe tumhari... Armaan: Mujhe Maan par poora vishwaas hai Daddy... Shashank: Lekin... Armaan: Aapko mujhpar vishwaas hai? Shashank: Haan... Armaan removed Shashanks hand from his forehead and held it in both his hands. Armaan: To fir ek baar... sirf ek baar mere vishwaas par vishwaas karke dekhiye... jaaney dijiye Ridhimaa ko Maan ke saath... Maan ko ek parivaar ki zaroorat hai... Ridhimaa ke saath ki zaroorat hai... meri wajah se Maan apne Papa se door hai... ab meri hi wajah se wo Ridhimaa se bhi door ho jaaye... ye main kabhi nahi chaahunga. Shashank: (voicing his fear) Agar Ridhimaa waapas nahi aayi to? Tum reh sakoge uske bina? Ridhimaa looked up. Armaan: Nahi... main Ridhimaa ke bina nahi reh sakta... lekin... mujhe humari muhabbat par poora vishwaas hai... aur ye vishwaas itna kamzor nahi hai ki kuch din ki dooriyan na bardaasht kar sake... hai na Ridhimaa? Ridhimaa did not answer. She was not looking at him. She was thinking about what had happened earlier that day when she had discovered Armaans new tattoo. Was Armaan speaking the truth? Did he really trusted their love? Ridhimaa switched her gaze back to Armaan and their eyes met for a second. What all was not there in those bright blue eyes? Love, trust, everything that Ridhimaa could ever desire. She nodded. Shashank pressed Armaans hand a little, indicating his support. Shashank: Main tumhari muhabbat aur tumhare vishwaas par vishwaas kar sakta hoon... He stood up. Shashank: Main baahar intzaar karta hoon... tum apna khayaal rakhna... Armaan: (smiling) Ji... Shashank went out. Armaan looked at Maan who was teetering at the edge of saying something. Armaan: Maan... Maan: Im sorry Armaan... mujhe nahi pata tha ki wo tum ho jisko Papa ne... Im really very sorry Armaan. Armaan: Maan... its OK. Maan: Its not OK. Mujhe sach me kuch nahi pata tha... pata nahi tumne kaise mujhe apne ghar me rehne ke liye keh diya... tumhe to mujhse nafrat honi chahiye thi... mere Papa... I mean... Prakash ne... Armaan: Maan! Wo aapke Papa hain! Maan: Unhone tumhe... main unse nafrat... nafrat... Armaan: Maan... aapko mere liye apne Papa se nafrat karne ki koi zaroorat nahi hai. Maan: Lekin unhone tumhe... Armaan: Unhone jo kiya, mere saath kiya. Aur aap chaahein to main unhe maaf kar sakta hoon... aap unke bete hain... apne Papa se nafrat mat kijiyega... Maan: Tumhare Papa bhi to... Armaan: Mujhe unke baare me koi baat nahi karni. Wo jab tak zinda the... tab tak maine unse nafrat ki... lekin ab... ab main chaah kar bhi unse nafrat nahi kar sakta. Ab shaayad wo aur Ma saath honge... khush honge... maine unhe maaf kar diya hai... Maan: Tum bahut achhe ho Armaan. Armaan: Thanks! Mujhe pata hai... Maan: Main bhi kuch der baahar jaata hoon... tab tak tum dono... He left the sentence incomplete and walked out of the room. Armaan now turned his attention towards Ridhimaa, who was still silently shedding tears. Meanwhile, Shashank had confronted Maan in the living room. Shashank: Maine sirf Armaan ki wajah se tumhe... Maan: Main jaanta hoon Dr.Gupta. Mujhe aapse kuch bahut important baat karni hai. Shashank: Kya baat karni hai? Maan: Main Riddhi... I mean Ridhimaa aur Armaan ko alag nahi karna chaahta. Shashank: What? Maan: Main Riddhi... Ridhimaa ko apne saath nahi le jaunga. Chaahe kuch bhi ho jaaye. Shashank: Lekin Ridhimaa to... Maan: (speaking very carefully) Ridhimaa bahut achhi hai. Usne har kadam par meri aur Mummy ki help ki. Apni salary se humara ghar chalaaya... mujhe meri hobby ko as a career pursue karne me help ki... wo to Mummy ko apni kidney tak donate karne ke liye ready thi... Shashank was taken aback. Maan: Lekin maine humesha ussey nafrat ki... mujhe lagta tha ki uski wajah se mere Papa mujhse door hue hain... lekin Ridhimaa ne kabhi mera saath nahi chhoda. Mummy ki death ke baad... sir wo hi meri apni hai. Im sorry meri wajah se Ridhimaa itne din tak aap logon se door rahi... is baat ke liye shaayad main kabhi khud ko maaf nahi kar paunga. Aur main jaanta hoon... aap sabse door hokar Ridhimaa kitni takleef me rahi... ab main Riddhi ko aur takleef nahi dena chaahta... I mean Ridhimaa ko... Shashank: (after a brief pause) Ridhimaa tumhari behen hai... tum usey Riddhi keh kar bula sakte ho. Im sorry maine tumhe galat samjha. Tum apne pita ki tarah nahi ho. Maan did not know whether he should accept this compliment ot not.
Posted on: Fri, 01 Nov 2013 15:59:05 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015