PEER E KAMIL ......... - TopicsExpress



          

PEER E KAMIL ......... Meri Zindagi too faraaq hai,wo azal se dil main makeen sahee Wo nigaah_e_shauq se door hain,rag_e_jaan se laakh qareen sahee Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin sahee Hamien aap khainchiye daar par,jo nahin koi tu hameen sahee Sar_e_toor sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee Na ho un pe mera bass nahin,ke ye aashqi hai hiwas nahi Main unhi ka tha,main unhi ka hoon,wo mere nahin,tu nahin sahee Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay Teri anjuman mein agar nahin,teri anjuman ke qareen sahee Tera dar tu hum ko na mil saka,teri rahguzar ki zameen sahee Hamein sajda karne se kaam hai,jo whan nahin tu yaheen sahee Meri Zindagi ka naseeb hai,nahin door mujh se qareeb hai Mujhe uska ghum tu naseeb hai,wo agar nahin tu nahin sahee Jo ho faisla wo sunaayye,usse hashr par na uthaayye Jo karein ge aap situm waha,wo abhi sahee,wo yaheen sahee Usse dekhne ki jo lo lagi tu Qateel dekh hi lain gey hum Wo hazaar aankh se door ho,wo hazaar pardah nasheen sahee,
Posted on: Sat, 16 Nov 2013 23:26:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015